Gir gayi chat, ab sirf diware bachi hai,
Dhoop aur barish bhi satane lagi hai.
Marramat ka kaam chalu hai poore zor se,
Par aandhiya ab diwaro par khat-khatane lagi hai.
Hath to hai kuch aur bhi, is jaldi ke kaam me,
Magar tajurbe ki khamiya bhatkane lagi hai.
Kad, kaathi, naam, zaroorat aur laga kar saare kayde,
Hamse rishte ke fayde ka andaza lagane lagi hai.
Bheed me bhi akela mehsoos karane lagi hai,
Yeh duniyadari bhi kaisa manzar dikhane lagi hai.-
Follow me on instagram, link given.
DM me your writings on instagram... read more
Umda bohot hua,
Chalo aaj kuch aam karte hai.
Do pal ek-2 jaam k sath,
Apne-2 dilo ki baat karte hai.-
Gumshuda mai hu kahi,
Mujhe apni hi talash hai.
Rasta hai bohot bada,
Aur umar kuch kam mere paas hai.-
Tere likhe lafz padh lu,
Tere oudhe libas padh lu.
Kuch aisa Kare khuda,
Ki teri nazro me apni aukat padh lu.
Kimat bata de tere ishq ki bs eak pal me,
Ada kar saku nikah padh lu,
Na kar saku to apni garbibi ka malal kr lu.-
Wajah-Bewajah Ka pata nhi,
Par beintehah zaroor hai.
Mili hui tumse aaj, isi wakt,
Yeh shikast bhi hame Manzoor hai.-
Daam iska bazar me bhi Na mil paaega,
Izhar aisa hoga ki, kisi ke Darbar me bhi na mil paaega.
Door ho kar bhi paas rehte ho,
Meri Khushi ke darvage k darban ban baithe ho.
Vajah Nahi chahiye tumse ishq krne ki,
Tum is trh meri jaan ban baithe ho.
Fursat mile to jhaak lena gireban me,
Meri sari khwaisho ki pehchan ban baithe ho.-
Na-insafi to nahi hai yeh-2,
Jo kaynath tujhe AAj deti hai.
Kisamat ke sahare baithne walo,
Zindagi ek baar hisab zaroor leti hai.
-
Ghaav lage jawab ke hazar the,
Kb tk sabke inkar sun pata.
Karna pada kudh ke liye kuch,
Sabke ehsan kaise utaar pata.
-
Bhatak jata hu is jeevan ke rasto pr,
Kya mujhe agla mod bataoge.
Mai to hu chakraya Arjun ki tarah,
Kya tum mere Shri Krishna ban paaoge.-
Koi dekh na raha ho to-2,
Ek khata hum bhi kar de kya.
Badle ke taur pr hi sahi,
Aapka dil hum bhi chori kar le kya.-