Shresth Prajapat  
8 Followers · 2 Following

Follow my Instagram account "fallen_leavess"
Joined 14 November 2018


Follow my Instagram account "fallen_leavess"
Joined 14 November 2018
12 APR AT 20:18

Dukh hai, waqt theherta nahi..
Shukra hai, waqt guzar jata hai..

-


16 MAR AT 22:03

Waqt hai thama thama..
Raat bhi hai chup jara..
Shor bhi na hai kahin..
Fir aakhein kyu jagi jagi..

Raaz kya ye hai koi..
Mann jo samjh hai nahin..
Fir chod saari baat ko..
Khwab dekh le koi..

-


12 JUL 2021 AT 22:54

Wo kagaz ke panne bhi ab purane se lagne lage hain,
Jin par hum tumhari tarifein likha karte the...

Ab tumhe na dekhe to bhi din kat jata hai,
Aur ek waqt tha jab tumhari ek jhalak ke liye sajde kiye karte the...

-


4 MAY 2021 AT 7:38

Waqt do to saare ghav bhar jate hain, tan ke ho ya mann ke...
Yu hi nahi pichle saal kudrat ne apne ghav bhar liye the, hamare ghr baithne pr se...

-


17 APR 2021 AT 19:56

Subah ko raat ka sahara na hota,
To din ko jine mein wo pagalpan na hota...
Raat ki thandak hi subah ki halki garmahat ka ehsas dilati hai,
Warna bin taaraon bhari raat ke, subah ki kirno mein wo sukoon na hota...

-


17 APR 2021 AT 19:43

Subah ko raaton ka sahara na hota,
To sooraj ki kirno ka maza na hota...
Raaton ki thandak hi subah ki halki garmahat mehsus karati hai,
Warna bin taaron bhari raat ke, din mein jine ka koi maza na hota...

-


24 FEB 2021 AT 1:16

Hafta guzar gaya hai un pahadon ko piche chor aaye hue,
Magar ye dil abhi bhi un haseen vadiyon mein dooba hua hai...

Maano sharir to wapas aa gaya hai us khoobsurat dastan se nikal kar,
Magar ye mann abhi bhi un nazaron ki talaash mein khoya hua hai...

-


31 JAN 2021 AT 23:24

Uske baad to jese waqt hi badal gaya,
Jaha call hota tha doston ko har exam se pehle,
Ab zindagi ke intehaan mein kise call kare,
Bas ye hai meri samjh ke pare...

Sochta hu mil lu sabse,
Magar kese...

Kisi ka thikana badal gaya,
Koi eid ka chand ho gaya,
Call karo to phone uthate nahi,
Message kro to jawab aate nahi...

Busy to sab hain,
Koi jyada koi kam..
Magar jara dil ke tehkhane ko khol kar to dekho,
Aaj bhi wahi thehre hain hum... .

-


31 JAN 2021 AT 23:22

Yaad hai wo din??
College ke gate ke samne khade the,
Ye soch kar ki agle teen saal kese honge...
Kisi ne socha nahi hoga ki zindagi bhar wo teen saal yaad rahenge...

Aaj bhi dekh leta hu un tasveeron ko,
Jinke sath wo pagalpantiyan ki thi...
Padhai likhayi to naam ki thi,
Aaj tak samjh nahi aaya ki analysis kyu padhi thi...

Kismat hi thi jo is college mein admission mila,
Srk ki kuch kuch hota hai wali thodi bhot feeling to mil hi gayi...
Fir chahe wo doston ke sath har pal bitana ho,
Ya fir doosron ke relationships mein maze le jana ho...

Ruchi ki dosti aur usse ladai,
Shubham ka body banana aur har waqt gym ki baat karna,
Anjali aur rohit ko ek dusre ke naam se chidna,
Ravi ka exams mein help karana...
Aur baaki saare doston ke sang awaragardi karna...

Yaad hai aaj bhi ek ek baat,
Dil ke kone mein chupi hai saari wo baat,
Fir chahe ho wo farewell ke din emotional hona,
Ya aakhri exam wale din sabse aakhri baar bye bolna...

-


17 DEC 2020 AT 18:14

Sardiyon mein dhup ki tarah,
Tum sukoon ho meri zindagi mein...
Jiski ek chuan se bhi is dil mein,
Rahat aati hai har pal mein...

Jaane konsa khoobsurat din raha hoga,
Jab aaye hoge tum zindagi mein...
Aaj bhi lagta hai jese us din,
Kismat chal rahi hogi mere isharon mein...

Baaton ka har waqt jannat sa lagta hai,
Khuda ka dia tauhfa sa lagta hai...
Milne ke mauke har waqt dhundhta hu,
Bina mile to mai jese jina hi bhulta hu...

Muskaan hi to hai tumhari jo pagal sa karti hai,
Dil ke har kone mein raahat si bharti hai...
Ab to jud gayi hai taar is dil ki tere dil se,
Dhadakne ke liye bhi ab tere darr par rukti hai...

-


Fetching Shresth Prajapat Quotes