Shivesh Chauhan   (ज़ेहन | Zehan)
153 Followers · 59 Following

read more
Joined 3 January 2019


read more
Joined 3 January 2019
19 HOURS AGO

abb in ankhho me paani nahi hai
abb meri koi prem kahani nahi hai

saawan tum bin hai viraan lag raha
asman ka rang bhi aasmani nahi hai

na barish ki bundo me hai wo khusbu
rang sarso ka bhi utna dhaani nahi hai

tum rahe to shayari karaa karte the
abb to ek bhi yaad zabaani nahi hai

kabhi dil lagane ka bada shouq raha
dil lagane ko ab dil lagta hi nahi hai

main tumhe hi aaj tak likh raha hoon
tumhare sivaa kuchh pata hi nahi hai

ikk baar bas aake lag jao gale se tum
jeene ka man dil ko zaraa bhi nahi hai

-


2 MAY AT 22:53

the two most
heavenly sights
the beauty of yours
and the first rain of the year

I'll still look at you first
the rain might come and go
you are the constant
the only one I know

-


1 MAY AT 23:39


itne safaid to nahin they baal tumhare
jab aakhiri dafa mile them hum
shayad khidki se hi tumhare
thodi dhoop si aa rahi hai
sooraj jhank raha hai
pardon ke pichhe se

ke kuchh nahi bass
umr kha jaati hai sabko
thoda darr bhi jaata hu mai
tuje khone ka khauf dil dahla deta hai
mujhe har roj saath tere sadiyan bitani hai
saansein ye jitni bhi hai bas tere liye li jaani hai

-


30 APR AT 22:34

kisi shaam milo tum
fursat me door kahin
to mai bataun tumhe
tum kitni haseen ho
aur ginau tumhe
wo tamaam chijen jinhe
mai har baar dekhun
to aur bhi haseen lagti hai
aur sunau tumhe
wo tamaam gazlein
jo maine likhi to
par kabhi sunai nahi
aur dil ki tamaam baatein
jo kabhi tumhe batai nahi
kisi shaam milo tum
fursat me door kahin

-


29 APR AT 22:08

badi khubsurat shaam thi magar
phir koii ma'slaa ho gaya shayad

-


28 APR AT 14:52

zakhm bhar nahi rahe zaaya dawa raha hai
jaane kaisa rog hai bas lagaa ja raha hai

jaan-e-jaan tum aao to haal bayaan karun
naa jiya ja raha hai, na maraa ja raha hai

mai magar phir bhi tumhare pyaar me hu
tumhara man mujhse bhara ja raha hai

baat yahi hai ki bas tum jaa rahi ho magar
kyu aisa lag raha, mera jahaan ja raha hai

mai tumhare bina aakhir kaha jaunga
tu mere bina akhir kahaan ja raha hai

-


27 APR AT 23:31

kaise jee rahe hai hum

tum they to band ki thi
ab phir pi rahe hai hum

tum bhi to tum nahi rahe
na hum bhi rahe hai hum

-


27 APR AT 23:20

ik hain jise ghar me chhipana hai sab se
aur phir ekk din usey milaana hai sab se

mile usey kucch saal hi guzre hai shayad
aisa lagta hai yaar wo purana hai sab se

hu chup mai ke na lag jaaye nazar kisi ki
warna us se ishq hai ye batana hai sab se

-


26 APR AT 22:28

kabhi lagta hai ke kitna kuchh hai jeene ko
kabhi lagta hai jeene ko kuch bacha hi nahi

kabhi lagta hai chale jaane se uske kya kho gaya
kabhi lagta hai ki baad uske kucch bachaa hi nahi

kabhi lagta hai ki na hai wo to akhir kami kya hain
kabhi lagta hai hafte guzar gaye mai hasa hi nahi

kabhi lagta hai ke tum samajh hi na sake mujhko
kabhi lagta hai ik alawa tere muje koi samjha hi nahi

kabhi lagta hai ab tum mujhe bhul gaye hoge shayad
kabhi lagta hai ki mujhe tu kabhi bhulega hi nahi

-


25 APR AT 20:04

mil gaye hai shayad koi aalam naye se
jaise ikk roj mile the tumhe hum naye se

meri gazale ab pareshan karti hai shayad
bhane lage hai tumhe ab kalam naye se

mai fek du ke ab zakham bhar raha nahi
mai bazaar se le aau ab marham naye se

-


Fetching Shivesh Chauhan Quotes