Shivani Dhar ┬а (Shivani Dhar)
19 Followers ┬╖ 14 Following

And miles to go before I sleep
Joined 7 September 2018


And miles to go before I sleep
Joined 7 September 2018
15 JAN 2023 AT 13:50

Aji rishton mein nafa nuksaan humne nahi dekha
Humne ghar dekha, wo bada makaan humne nahi dekha
Bhoode haathon ki sookhi roti bade chaaw se khayi hai, badi dukaan ka pakwaan humne nahi dekha
Zameer bache hue hai bas kuch chand logo mein, bekey hue zameer ka insaan humne nahi dekha
Humne badi mushkil se dekha hai jana uska, par jab wo laut ke aaya naadaan fir humne nahi dekha
Dekha hai apno ko tara bante hue humne, fir wo taron se bhara aasmaan kabhi humne nahi dekha
Khot nikaali sabke daaman mein se, fakt apna hi ghirebaan humne nahi dekha

-


6 JUN 2021 AT 19:21

Mukamal kissey khwabon k shehar mein hote hai
Haqeeqat k jahan mein sab aadha adhoora reh jata hai..

-


1 OCT 2020 AT 20:03

рд╣реЗ рдХреГрд╖реНрдг!

рдлрд╝рд┐рд░ рджреНрд░реМрдкрджреА рдХреА рдЧреБрд╣рд╛рд░ рд╣реИ
рд╕рднрд╛ рд╣реБрдИ рд╢рд░реНрдорд╕рд╛рд░ рд╣реИ
рдЪрд▓реЗ рдЖрдУ рдЪрд▓реЗ рдЖрдУ
рдзреБрд░реНрдпреЛрдВрдзрди рдХреЗ рд░рдХреНрдд рд╕реЗ рдХреЗрд╢ рдзреЛрдиреЗ рдХреЛ
рдлрд╝рд┐рд░ рджреНрд░реМрдкрджреА рддрдпрд╛рд░ рд╣реИ

рд╣реЗ рдХреГрд╖реНрдг!
рддреВ рдорд┐рддреНрд░рддрд╛ рдХреА рдорд┐рд╕рд╛рд▓ рд╣реИ
рдорд┐рддреНрд░рддрд╛ рдХрд╛ рд╣реБрдЖ рдмреБрд░рд╛ рд╣рд╛рд▓ рд╣реИ
рдЪрд▓реЗ рдЖрдУ рдЪрд▓реЗ рдЖрдУ
рд╕реБрджрд╛рдорд╛ рджреНрд╡рд╛рд░ рдкреЗ рдкрдбрд╝рд╛ рдмреЗрд╣рд╛рд▓ рд╣реИ

-


14 AUG 2020 AT 20:40

Chup si gayi hai, jo sareaam yeh aazadi
Dhoonda bhaut, hai gumnaam yeh aazaadi

Chup si gayi hai, jo sareaam yeh aazadi
Dhoonda bhaut, hai gumnaam yeh aazaadi

Khauf jaha mann ki baat kehne ka ho
Apne hi Ghar me haq se rehne ka ho

Khauf jaha apne jigri se milne ka ho
Ya Bekhauf raaton mein chalne ka ho

Ho jaha durabat mein pis raha gareeb
Ya Shohrat mein dooba ameer ho

Karode ke chamkte putley ho jaha
Ya Kaudi mein bikta zameer ho

Kar gaye to kis kadar ki badnaam yeh aazaadi
Ab rahi na mere kisi kaam ki aazaadi

Mubarak ho tumhe bhi bas naam ki aazaadi....

-


13 AUG 2020 AT 23:52

Darkht bhi main, main hi dariyan hu

Baat bhi main hu, main hi zariyan hu

Dil aur dimag mein chalne wali jagad o jehad hu

Mujeh mein shor bhi hai, main khamosh bhi behad hu

Tum jo aasani se samjh na pao, main wo kissa hu

Main juda bhi tumse, tumhara hi hissa hu

Jiski sakht zaroort hai zamaane ko badlne ki

Wo nazar bhi main, main hi nazariyan hu

Darkht bhi main, main hi dariyan hu........



-


24 JUL 2020 AT 0:39

Sukoon se umar katt jaaye magar kaise,
Mohobbat sab mein batt jaye magar kaise,

Tere Ali ki aradhna, mere shiv ki ibadat ho jaye magar kaise
Tere rang mein mera rang mil jaye magar kaise

Mere sajjdo se tere char dham ho jaye magar kaise
Teri Tapasya se meri haj ho jaye magar kaise

Teri chadar se meri sardi ruk jaye magar kaise
Mere foolon se tera ghar mehak jaye magar kaise

Mere burke p teri bindi khil jaye magar kaise
Meri urdu mein teri hindi mil jaye magar kaise

Yeh hona ho to ho jaye magar kaise
Khair yeh masla jaane diya jaye, magar kaise magar kaise???

-


16 MAY 2020 AT 2:29

Waqt rehte bta dena...

Na zaya hojaye yeh Lamhe jo bach gaye hai
Haq jatana hai to jata lena

Bekaar ki uljhane hai bekaar k dayire
Bekaar ki baatein, baaton k mayine

Lambi yeh sadke, sadko k gadde
Puraani yeh baatein, baaton k adde

Dhundle se chehre dikhne lage hai
Kuch dhang ka dikhai de to dikha dena

Haq jatana ho to jata lena

Ab mujeh sona hai, jaane se pehle utha dena!
Suno waqt rehte bta dena...

-


9 MAY 2020 AT 2:01

Saari raat yeh guftgu chal rahi hai , chalne du kya?
Teri yaad khal rahi hai, khalne du kya?
Arsa hogaya tujeh mehsoos kiye hue, yeh sham dhal rahi hai dhalne du kya?

Mulakaat ka koi zaryaa dhoondlon na, Mann bechain hai , machalne du kya?

Sab se chupta rehta hai jo yeh dil, tumse milna chahta hai, milne du kya?

Jaante hai chu nhi sakte jism ko tere, rooh ko chhuna chahte hai, chu lu kya?

Tu keh to de ki laut aayega fir wohi sama, tab tk jaisa chal raha hai chalne du kya??

-


9 MAY 2020 AT 0:08

Chaar diwaari!

In dino humne duniya dekhi hai
Durbat dekhi hai shauhrat dekhi hai
Nafrat dekhi hai, mohabbat dekhi hai
Maayoos chehre dekhe hai, khil khilati hasi dekhi hai
In dino humne duniya dekhi hai

Lambe raaston ko chota kar diya us mazdoor k kadmo ne
Ibaadat k raaste hi badal diye haalato ne
Kahin khud se khud ko milte hue dekha hai
Kahin sab se judayi dekhi hai
In dino maine duniya dekhi hai

Khali raasto p shor nahi sanaate dekhe hai
Khamosh kamro mein chehal pehal dekhi hai
Waqt nahi milta ab koi nahi kehta
Waqt nahi kat raha sunai deta hai
Nazrein bichaye umeedon ko dekha hai
Khuli aankho se sapno ko dekha hai

Dekhi hai mazburiyan angdai leti hui
Bebasiyan mashoor hote dekhi hai
In dino maine duniya dekhi hai

Maiyne badal diye hai jeene k
Maine in chaar diwari mein kai kahaniya dekhi hai
In dino maine duniya dekhi hai

-


16 NOV 2019 AT 23:30

Aaj khud se jab mulaakat hui, poocha mujse maine, aakhir main Kya kar raha
Safar haseen krne ki khwahish mein
Safar Ghar se daftar aur daftar se Ghar Raha
Najaane kis Khushi k liye yeh maara maari hai
Na main kisi ka hua, na mera koi Humsafar Raha
Dikhawe ki zindgi hai yeh jaanta hu main phir bhi
Hashar k din se main iss Kadar bekhabar Raha
Yeh Jo iss Kadar kamaane mein lga hu
Kab isse kharch karunga
Achhe waqt k intezaar mein Bache hue waqt se bekhabar Raha
Safar haseen krne ki khwahish mein
Safar Ghar se daftar aur daftar se Ghar Raha


-


Fetching Shivani Dhar Quotes