Yaad kiya hai
Piro raha hun mohabbat is kagaz k tukde pe, badi door se.
Aap tak yeh lafz mere zaroor pohchenge.
itna pareshaan kyu rehte ho miyaan, kehne laga daakiya.
Kahaa maine, Toofan aksar manzil aur hamare darmiyaan aate rehta hai.
Khair, agar pohoch jaao manzil par,
Toh kehna humne yaad kiya hai.-
Shaam ke baadalon ko dekh kar...
Teri maujoodgi ko talash raha hun.
Sach pe chaar jhoot phenk kar...
Ab bas apne aap ko sambhaal raha hun.-
To be happy by our own is a tough stuff.
But the day you start trying it..
I bet you will stop crying.. mate.-
I would be happy as I don't have a penny right now.
Well to be serious...
I would be facing a really tough time managing everything. But then I m certain that in the next month issues will get resolved.
-
Khamoshi
Kuch daastaan...zindagi ke,
ho sakte hai bayaan mehez khamoshi se.
Khair humei toh,
lafzon ko sajaane ki aadat si hogayi hai.-
Halka bhaari
Halka mehsoos kar paana bhi ab ek khwahish si lagne lagi hai.
Chaaro ore ki hawaayein aajkal kai zyada bhaari si lagne lagi hai.
Man ko jeet ab pasand nahi shayad.
Har taraf bas haar hi dikhne lagi hai.
-