Hum likh nahi sakte, kuchh dard aisa hai
Muskurahat kho gayi ye aanshu bhi karz jaisa hai
Ruswa karta jaa rha hai ishq pal pal hume
Ab to aisa lagta hai jaise ye unke farz jaisa hai-
Please keep supporting...
Ek ladki thi mere zindagi me
Thi kya yaar wo to ab bhi hai
Apni si lagti hai dil ko
Dil ko mere wo lagti rab bhi hai
Jaa rahi thi jab chhod ke mujhe
Maine kaha mat jaao dil bahut rota hai
Biology ki student thi wo
Pyar se boli aanshu aankhon me hota hai
Sir khujate hue sochne laga tha mai
Mai pagal hu ya ye bana rahi hai
Man me aaya majak kar rahi hhai
Aisa bol ke mujhe ye jala rahi hai
Fir maine tuta dil bheja 💔
Kaha dekho dil ka kya haal hota hai
Biology ki student thi wo
Kaha dil ka shape ye nahi hota hai
Mai rota raha wo hasti rahi
Bhul jaao bhul jaao kehti rahi
Koi bhala pyar ko kaise bhulayega
Har pal yahi gham tadpayega
Yakeen hai mujhe wo aayegi
Pyar yahi to hota hai
Par Biology ki student thi wo
Doctor to jallad hi hota hai-
Mere Aanshuon Ko Bhale Andekha Kar Do
Par Khud Ke Dil Ke Toofan Ko Kaha Chhipaogi-
Rona Aashan Nahi Hota Hai
Dil Tudwana Padta Hai
Tab Jaa Kar Aanshu Aate Hain-
Na Gaya Tha Na Jaunga
Keh Diya Na Maine
Marte Dam Tak Sath Nibhaunga
Bas Tu Yu Mujhse Khafa Mat Hua Kar
Sab Thik Ho Jayega Khuda Se bas Dua Kar
Paraya Tha Mai Tere Liye
Tu Bhi Kabhi Ajnabee Tha
Ek Rangeen Shaam Thi Wo
Jab Tu Bana Zindagi Tha
Mai Hoon Nakara Bechara Sa
Ro Ke Tujhko Mana Leta Hoon
Tu Taqleef De Manzoor Hai
Har Dard Seene Se Laga Leta Hoon
Tu Khud Soch Tu Kabhi Bhool Payegi
Are Tu Jab Bhi Online Aayegi
Meri Yaadein Bada Satayegi
Kaha Tha Tune Kabhi Mat Jaana
Mai Us Waade Ko kabhi Tod Paunga..?
Yaad Rakhna Jis Din Ye Naubat Aayi
Din Chhodo Usi Pal Mai Mar Jaunga
Tu Soch Nahi Sakti Hai ke Tu Kya Hai
Upar Waale Ka Hata Na
Niche To Tu Mera Khuda Hai
Mere Aanshu Satate Hain Na..?
Ye Tumhe Bhi Rulate Hain Na..?
Fikra Mat Kar Mujhe Kuchh Nahi Hoga
Bol Kya Karu..?
Tu Jo Kahe.. Sab Sahi Hoga
Ek Guzaarish Hai Dil Ki
Kabhi Door Mat Jaana
Zindagi Chhod Dun
Kar Ke Itna Mazboor Mat Jaana-
Koi door hume kare ye kiski aukat hai
Jyada kuchh nahi bas SAMAY ki baat hai-
Bheege hothon ki baatein karu kya teri
Band aankhon se mehsoos karta hoon mai
Muskurahat teri zindagi jaisi hai
Inko dhadkan bana kar ke jeeta hoon mai
Mere dil ki hai hasrat tujhe paa mai lu
Ek lamha tere bin ab jeena nahi
Ek arshe se chahat teri hai mujhe
Mujhe saawan ka pani ab peena nahi
Teri julfo ko chhune ka mauka tu de
Inki khushboo ko mehsoos karta hoon mai
Muskurahat teri zindagi jaisi hai
Inko dhadkan bana kar ke jeeta hoon mai
Khud ko tere hawale hai saunp diya
Tere naam aaj se ye zindagi kar raha
Tujhko mana khuda hai maine aaj se
Tera sajda teri main bandagi kar raha
Tujhko baahon me bhar kar ke ro lene de
Roz tanha hi gham apne peeta hoon mai
Muskurahat teri zindagi jaisi hai
Inko dhadkan bana kar ke jeeta hoon mai-
तुमने जब मुंह फेर लिया तो कौन साथ देगा
सहारा तुमने छीन लिया अब कौन हाथ देगा
आंशु के बूंद मेरे किसी तूफान के तरह लगते हैं
दूर हो जाओगी तो मुकमल इश्क़ की सौगात कौन देगा-
Kisi aur ko yaad karte hain aur naam humara lete hain wo
Zinda to unke ishq ne rakha hai naam hai ke sahara dete hain wo-
Sabak zindagi bahut sikhayegi
Zakhm kured kar dard jagayegi
Maante rahiye dil ka kehna
Ye mohabbat aapko maut se milayegi
Fariyaad na kijiyega khuda se
Use ye pasand na aaya tabhi juda kiya
Uff galti ho gayi...
Aap to wo badkishmat hain
Jisne ishq me khuda ko bhi bhula diya
Dekhiyega sapne unke sunahri raaton me
Ab ye sapne bhi aapko satayegi
Nazarandaz kijiye jamane ko
Ye mohabbat aapko maut se milayegi
Zindagi karz na ho jaye dekhiyega
Taalluk kaafir se achha nahi
Wo aapke nahi rahenge to roiye mat
Na mil paye to kya pyar sachcha nahi
Bimar kar lijiyega khud ko ishq ka
Pyari yaadein unki dawa ban jayegi
Chilla chilla kar roiyega janaab
Ye mohabbat aapko maut se milayegi
-