Hum to khud Hum hai , koi or kyu bane hum.
Uski boosdili h ki khud ko na dhund paya wo khud me . Bhaala koi busdil kyu bane hum-
Ek lash ka bhoj hai in kandho per,
Ek shaqs mujme kahi mar gaya hai.-
Ye nadan duniya chand ka dard kaha smjhti hai.
Wo jalta hai sari raat to zameen per chandni barasti hai.-
Wafa us shaksh ki fitrat me Nahi.
Magar use befawa kehna gunnha Sa lagta hai.-
Har Waqt Nashe Me Rehte Ho,
Marne Ka Irada Kar Liya Kya.
Lamha Bhar Bhi Koi Sath Nahi Tumhare,
Apno Ne Tumse Kinara Kar Liya Kya.
Yakeen Hi Nahi Tumhe Khuda Per Shirish,
Khud Per Barosa Zada Kar Liya Kya.
-
Iss Kadar Sataye Ja Rahe Hai.
Har Kadam Per Azmaye Ja Rahe Hai.
Barosa Hai Koi Sath Na Dega Magar.
Sub Se Umeed Lagaye Ja Rahe Hai .
Tum Se Abh Koi Rishta Hi Nahi.
Bus Issi Bat Ka Gum Manye Ja Rahe Hai.-
Wo Ek Tara Hai Meri Raaton Ka Sahara,
Chand Ko To Mere Liye Fursat Hi Nahi.
Me Jo Khud Ko Dhundne Ko Nikla
To Ye Paya,
Me To Mere Muqaddar Me Hi Nahi.
-
Khilno Se Kehlne Ki Umar Se Ansuo Se Kehl Rahe Hai.
Hume Kya Shayari Ka Hunar Hum To Bus Lafzo Se Kehel Rahe Hai.
Zakham Khuredte Hai Mere , Apne Hi.
Mere Apne Hi Mere Zakhmo Se Kehl Rahe Hai.-