Mat karo iss dil par alfazon ka zulm itna
Ke jab phat padega toh nukhte, tashdeed, zer, zabar aur pesh ka zalza tum se alif se ya tak ka hisaab lega.
مت کرو اس دل پر الفاظوں کاظلم اتنا
کےجب پھٹ پڑیگاتونختا، تشدید، زیر، زبراورپیش
کا زلزلہ تم سے الف سے ے تک کاحساب لے گا۔-
Tera Safar par Jana Mera liye yoon tha ke
Meri ahmiyat aur mohabbat ke raaste kho gae
Aur tujhe yaad raha toh bas Tera Safar aur manzil.
تیرا سفر پر جانا میرے لیۓ یوں تھا کے
میری اہمیت اور محبت کے راستے کھو گئے
اور تجھے یاد رہا تو بس تیرا سفر اور منزل ۔
-
Nahi hai hasrat ab iss dil mein koi
Ke jiss chehre ki hasrat aakhri saans tak ki ab wo chehra hi nahi.-
چلوں تو کہاں تک چلوں
آزماںٔی جاؤں تو کہاں تک آزماںٔی جاؤں
کوںٔی ایک حدطۓکردےیارب
اس سے پہلےکےحوصلہ ہارجاؤں۔
Chalun toh kahan tak chalun
Aazmai jaon toh kahan tak aazmai jaon
Koi ek hadh tay kar de ya rab
Iss se pehle ke hausla haar jaon.
-
زندگی تو کب اورکیسے بےوفانکلی
روح بن کے جسم میں رہی اور دغا دے گیٔ۔
Zindagi tu kab aur kaise bewafa nikli
Rooh ban ke jism mein rahi aur dagha de gai.-
Na roko, na toko mein ek fiza hoon na therna hai mujhe
Na hi jakdo meri udan ko zanjeeron mein
Kyun ki hosh mein aai hoon abhi girne do sambhalna hai mujhe.-
ضروری نہیں ہے کے محبت کی ہر منزل کانام نکاح ہی ہوں
بس کچھ منزلیں ایسی ہوتی ہے جوبےنام ہوتی ہے۔
Zaroori nahi hai ke Mohabbat ki har manzil ka naam nikah hi ho
Bas kuch manzilein aisi hoti hai jo be naam hoti hai.-
ہمیں تو پوری کاںٔنات پسندہے یارب،
بس توکوںٔی ایک ایسا بتادے جو ہمیں چاہے۔
Hume toh puri kayenaat pasand hai ya rab,
Bas tu koi ek aisa bata de jo hume chahe.-
مصروفیت توبس ایک بہاناہے
اصل حقیقت تویہ ہے
کے آپ کوہم سےدورجاناہے۔
Masroofiyat toh bas ek bahana hai
Asal haqeeqat toh ye hai
ke aap ko hum se door jana hai.-
تیرامجھے یادکرنابھی، کیایادکرناہے
جوتومجھے مصروفیت میں بھول جاتاہے
اور فارغ وقت میں بات کرنےکےبہانےتلاش کرتاہے۔
Tera mujhe yaad karna bhi, kya yaad karna hai
Jo tu mujhe masroofiyat mein bhool jata hai
Aur farigh waqt mein baat karne ke bahane talash karta hai.-