Shibaji Shaz   (Arbāb Shāz❤️)
35 Followers · 580 Following

read more
Joined 29 April 2020


read more
Joined 29 April 2020
7 MAR 2021 AT 0:12

Nadi mein tair ke Sagar se aa kar mile,

Teri khirki se ishq ko jaa kar mile.

-


10 FEB 2021 AT 20:47

Gulon Ki Khushboo Se Tujhe Mehsoos Kar Ke Dekh Liya,

Teri Gali Mein Rahi Baagh Mein Thahar Ke Dekh Liya.

-


1 FEB 2021 AT 22:41

Aftab bujh gaya, ik aks ki noor ne zinda rakha hai,

Mohabbat kar baithe ik bewafa se, is kasoor ne zinda rakha hai.

-


29 JAN 2021 AT 22:24

Hume matlab hai ishq se bharam pe kyuun jaye,
Kuchh farishto ki darr se dharam pe kyuun jaye.

Khauff itna fayl chuka hai nafraton ki,
Sab soch mein pad gaya karam pe kyuun jaye.

Siyasat ki jaale mein insaan aise faans gaye,
Bhool gaya hai dusro ki marham pe kyuun jaye.

Insaaniyat ab is mukaam pe khade hai,
Kisi ko aakal-o-hosh nahi sharam pe kyuun jaye.

-


27 JAN 2021 AT 22:18

Meri Pagalpan Ko Numaish Mat Samajhna,

Tumse Mohabbat Mangne Ki Ik Pehlu Hai.

-


23 JAN 2021 AT 19:38

Kis se karun dil ki baatein koi bhi paas nahin,
Basane lage sab apni duniya kisi ki main khaas nahin.

Neend, chain, saans zindagi se sab chhut gaya,
Haqeeqat mein phir bhi hum udaas nahin.

-


18 JAN 2021 AT 16:04

Chaha ke bhi tumse keh nahi paate hai,
Kehne jata hoon zuban thahar jate hai.

Hai to vo raqib magar dost hai mere,
Apni dost ki khatir chalo gam khate hai.

Ek dafa chhua hai tumhari haathon ko,
Kitne shab gaye mahak roz aate hai.

Vo din kab ka beeta jab hum bichhde the,
Tere naam ki Ghazal aaj bhi gungunate hai.

Samajh nahi paya vo meri mohabbat ko,
Tanhai mein ' shaz ' Maikhane ko jate hai.

-


16 JAN 2021 AT 9:47

Mil gaya phir ik zakhm, ik khwaab chhod jane se,
Rah gaya kuchh unkahi kahani, dil tod jane se.

Mamla jo kuchh bhi ho tere bewafa hone ka,
Kuchh aur khwaab mil gaya, hume chhod jane se.

-


15 JAN 2021 AT 21:10

Piinaa ho ya pilana, khud saqi ban jao,
SaaGaar mein nasha hai, pi ke jan jao.

RuthTi rahi bewajah, kasoor kya hai mera,
DhadakTe dil ko sunlo, abhi to man jao.

-


15 JAN 2021 AT 11:25

Bazm-e-sukhan mein shayaron ka andaaz kya khoob hai,

Geet Ghazal hi in sukhanwar hazraton ki mehboob hai.

-


Fetching Shibaji Shaz Quotes