Kyon hi karna shiqva,
Logon se ...
Hua kabhi jo andhera,
Chor dia saath apni hi parchaai ne
-
woh bachpan ka mohalla mera,
jahaan kaafi log rehte thei...
abhi wahin kuch logon mein,
apna mohalla dhundta hun-
jo sookh gayi siyahi toh,
aaj mera lahu behne do
haan... milein hein kuch zakhm naye se,
inhe ...hara hi rehne do
kam pad gaye aaj alfaaz
kore kaagaz pe,
jazbaat behne do
ek sailaab, baandh ke chalta hun dil mein
bas kuch katra aaj,
ashq behne do
-
Sikandar ki samajh,
Shamsheeron tak thi
Khaer...
Dunia toh logon ne,
Mohabbat se jeeti
-
Tere hone se hi...
Khushi meri
Gar kabhi tod laaun chaand toh,
Kahin soona na ye falak ho
-
Kuch hai abhi bhi,
Jo mujhmein dhadaktaa
Le gaye thei dil,
Tohfe mein hi
Shayad cheen na sakey,
Zameer mera-
Ek waqt tha
Jab bijli jaaya karti
Darwaaze khulte
Log milte
Baatein hoti
Antakshari khelte
Ab,
Gharon mein inverter hai.
Ab bijli nahi jaati.
Ab darwaaze nahi khulte.
Kaho, kya uss daur mein tha andhera?
Kaho, kya iss daur mein hai ujala?-
Ye jo Laila - Majnu ki baatein karte hein,
Kya sach kehne se darte hein?
Ye jo Heer - Ranjhe ki baatein karte hein,
Kyon sach kehne se darte hein?
Ye jo aashiqon ka kissa hai,
Ismein zimmedaari ka kitna hissa hai?
Ye jo aashiqui se mann behlaate thei,
Kya apne hi kooche mein
Naalaayak - nakaare - nikamme - nithalle
Kehlaate thei ?
Be- aabruu hone ke inke kissey,
Mehfilon mein kya kamm hai?
Khaer, chhodiye befizul ki baatein,
Zamaane mein aur bhi ghamm hai.
-
Bata na,
Baba ...
Tu toh avdhoot Baba,
Fir teri chillam kaun jalaye?
Tu rahe bhasma dhaari,
Toh tere chandan kaun lagaye?
Tu toh rehta jata dhaari,
Toh tere kesh kaun banaye?
Tu rahe magan natraja,
Toh tujhe ghungroo kaun pehnaaye?
Tu toh kailashon ko vaasi,
Fir tujhe kambal kaun odhaye?
Tu toh ajanma avinashi,
Toh tujhe lori kaun sunaaye?
-