Shayar Subhash  
92 Followers · 170 Following

Joined 18 December 2018


Joined 18 December 2018
21 DEC 2024 AT 23:42

Ki chin lia Mujhse mera sabkuch waqt or halato ne.....

Ki jisse mein apna kaha karta tha aaj mere wo kuch bhi nhi.....

-


25 MAR 2024 AT 0:04

Berang si zindagi me kuch rang bharne laga....

Mujhe ye malum n tha kuch rang aisa chadega ki har rang ruth jayega...

-


25 MAR 2024 AT 0:03

Berang si zindagi me kuch rang bharne ki chahat liye baitha hu...

Jane wo konsa hoga rang jisse berang si zindagi fir se rangeen ho jaye...

-


9 OCT 2023 AT 10:38

Duniya jitne ki Himmat rakhne wale

Aksar mohobat se har jaya karte hai

-


3 SEP 2023 AT 10:15

Kash kuch aisa ho jaye safar me humsafar mil jaye.

Jo mujhe chod gaye bich majhdhar me wahi mujhe kinaro tak le aaye....

-


12 AUG 2023 AT 6:17

Khamoshiya bhi bola karti hain...
Gar koi sunne wala mil jaye to...

-


12 AUG 2023 AT 6:05

Chahat shukun ki karte hain log
Par shukun to chahto ko chodne me milta hai....

-


12 AUG 2023 AT 5:39

Ajeeb si kasmkash me hai ye Mera dil na Jane kisse naraz hua baitha hai tujhse ya khudse.....

Dikhata hu ab duniya ko main rakh ke hotho p jhuti mushkan ko....

Par aksar tanhaiyo m ye ankh namm ho jati h....
Tujhko hi dhundha karti hai

Or ye dil bas tujhko hi Pakara karta h par nahi janta ki
tujhtak awaz pahuchti hai bhi ya nhi... kabhi fursat mile apni duniya se to Akar dekh Lena kis haal me hu...

par uss waqt bhi tujhse chupa lunga apni jazbaato ko ye bhi to tujhse hi sikha hain.

Na dekhna kuch bhi bas gale se laga Lena bhul jaunga barso ki tadap ko intezar ko bas ghanto bina kuch kahe tujhe gale se laga rakhunga

-


26 APR 2023 AT 2:09

Achhi thi wo black n white zindagi khusiya to rha karti thi angan m bachpan khela karti thi hoti thi naqab chehre p khusiyo se bhadi hua karti thi....


Papa mummy se paise lekar sonpapadi khaya karte the dosto or apno k sath khusiya bata karte the...

Or ab ye Alam hai ki khane k liye paise h magar akele khaya karte hai

Achhi thi wo black n white zindagi khusiya to hua karti thi

-


8 FEB 2023 AT 23:01

Gehre kahi dil main ab tanhai Basti hain,
Deta hu awaz mein sayad koi Tham kar hath le jaye kahi dur jaha khusiyo ka dera ho

afsos koi sunta nhi meri pukar ko ek dost Bana wo bhi sunta nahi abto

ghir raha hu tanhaiyo ki jaal me e dosto karta hu guzarish Tham le hath Mera or le chal khusiyo ki jahan mein.....

-


Fetching Shayar Subhash Quotes