jis gali se guzre wo,
wahan ek khidki meri ho,
darwaje par khada haq jataye,
aisi ek gustakhi teri ho,
teri ankh pighle judai mein,
to badal ka dupatta banau,
tu thaq kar so jaye jis chav mein..
wo sare gulmohar meri ho,
shabnam si jharu saba mein,
aur wo khuli wadiyan teri ho,
agosh mein tujhe nind jo aye..
to sari jhapkiya meri ho,
wo kabhi dariya bane,
mujhe bhi pyas bujhana hain..
ret si samani hain lehar mein,
aur sath kinare tak bhi ana hain..
jis khayal se guzre wo,
wahan ek jhalak meri ho,
main dua mein sar jhukau,
to wo sari mehar teri ho..
-