Raat k andhero me khud se mulakat ho Jati h,
Jo din k ujalo me aksar he kho Jati h,
Or wo Jo nikalti hai laavo pe Muskan liye Ghar se,
Aksar Raat ki geherayi me dard ko chupati h..
Jo ked h asraar Dil ki geherayio me Kahi,
Laavo tak Kabhi aa na sake wo sikayate aksar,
Tanhayi me nam ankhon se bayan Ho Jati h ,-
Be calm be positive š
Kuch is kadar Khamoshiyo me gujar Rahi h Zindagi ,
ki ab lafzo se Mera koi vaasta Nahi,.
Gunjti thi Jo awaj Kabhi ishq ki sunhari gully me ,
Ghut Rahi h aj band Kamro me
Ki ab inka mohabbat ki roshni se koi raabta Nahi...-
Chand bhi Adhura hai ,
Pyar bhi Adhura hai,
Is Jhoot ki Duniya me ,
Kaha koi Pura hai...š-
Sachi Mohabbat ko Aksar
Khoobsurati hara deti h,
Kitne bhi sache ho jazbaaat,
Duniya nakar deti hai,
-
Kuch wo kahe Kuch bin kahe samjh Lena,
Dil ki har baat ko Dil me jagha dena,
Kabhi Ruth Jana toh Kabhi unko manana
Or narajgi me bhi unki khabar Lena,
Lafzo se Nahi ankhon se izhar ho,
Unki har ek adda me pyar ho ,
Wo Ruth bhi Jaye toh bhi mohabbat Ka izhar ho
Or mohabbat is bar har hadd k par ho,
Na koi Bandhan ho na Seema ho pyar ki,
Bas Dil me mohabbat or ankhon me intezar ho,
Aye khuda bas Etna Karam Tu Kar mujhpe
Jhuku jab Kabhi sajde me palke uthe
or Mehboob Ka deedar ho ,
Jism ki chahat na ho bas rohani ishq ho,
Laavo se pahele baat Dil ki dhadkan se ho,
Wo mujhme or m usme Kuch is kadar bas jau
ki dard uska ho ankhe naam MERI ho
Khusi MERI ho laavo ki hasi uski ho,
MERI har Dua Ka asar ho uspe
Meri yeh Zindagi bas uski ho...-
Ek tere he khatir duniya se lad jaugi,
Tu keh De toh haste haste mar jaugi,
Ishara toh Kar sanam m Teri he ban jaugi,
Har waade ko tere akheri Saas tak nibhaogi
Tu mujh sa ban ja m tujh si ban jaugi,
Is riste ko Uske anjam tak le jaugi,
Chahat Jism ki Nahi ,
Roohaniyat wala ishq h Mera,
Ek Teri Muskan k khatir ,
Har hadd se gujar jaugi,-
Wo Kuch is kadar
samaya hai mujhme ,
Ki Darpan me ab uska
he chahera najar aata hai...
ā„ļø-
Na Dooriyan hai,
Na Nazdikiya hai,
Hain toh bas ,
Majboriya Hain....-
Tu wo khaab hai
Jo Kabhi poora
ho Nahi Sakta,
M fir bhi tujhe
jeena chahti hu...
Tu wo Dua hai
Jo aada khuda ne
Kisi or ko ki hai,
M fir bhi tujhe
mangna chahti hu...
Tu wo kahani h jisko
Dil Kabhi mukamal
Kar Nahi Sakta ,
M fir bhi tujhe
Likhna chahti hu...-