Insaan jab mukamal toot jata hai tab
Usay Allah ke siwa kuch bhi acha nahi lagta..
-
Subha jab uthun toh aankh mai
Aik ansu zaroor hoota hai,
Tumhari yaad ka, tumhare khawab ka,
Tumhare intezar ka. 💔-
Itni wafain bhi na karna
Kabhi kisi shakhs se,
Dil ki gehrayi se chaha jaye toh
Log magroor ho jatay hain...-
Zindagi ke aksar maqamat per
Maine ye jana ke mere sath
Allah ke siwa koi nahi hai aur tab
Mujhe andaza hua ke sirf Allah
Ka hona kis qadar bahtar hai..-
Lafzoon ne
Zaroor kaha tha Alvida 💔
Magar mere lehje
Ne haath jooray thay.. 🙏-
Saari duniya ka sakoon aik taraf,
Rab se akeele baat karne wala
Sakoon aik taraf. 💕-
Insaan bohot khud gharz hai
Pasand kare to burayi nahi dekhta
Nafrat kare to achai nahi dekhta... 🥀
-
Kisi se muhabbat ho jaye toh
Khud ko sambhala ja sakta hai
Lekin agr kisi ki aadat ho jaye toh
Khud pe ikhtayar nahi rehta...-