Shamsher Alam   (_Alam°)
58 Followers · 42 Following

Joined 25 October 2018


Joined 25 October 2018
10 MAR 2023 AT 23:12

Sabr se dekhiye khaabo'n ko khaab me

Aag ugalta hai zindagi ahd-e-shabaab me

-


8 FEB 2023 AT 0:25

Unhein shikayat rahi hai ulfat me kami ki
Dil me mohabbat aur aankho'n me nami ki

Alam chalo ishq ek aur baar kar ke dekhte hain
Agar baat aisi hai to chalo iqraar kar ke dekhte hain

-


22 JUL 2022 AT 11:59

Koi mehboob kabhi ye khwahish na kare

Mohabbat kare magar mohabbat ki numaish na kare

-


12 JUN 2022 AT 23:24

Ghalati humne kiya hai mu'aaf use har baar kar ke
Fanna kiya khud ko humne use be-intihaan pyaar kar ke

Main hun uski zaroorat itna ba-khubi samajhta hun
Kisi aur ke bhi hath tham rakhi hai kisi aur ko bekarar kar ke

-


9 JUN 2022 AT 23:07

Ghalat kar ke kisi ke sath tum kis jannat me jaoge...

Jhukegi nazrein, Ghutan hogi aur sirf pachtaoge....

-


21 APR 2022 AT 5:42

Yun rukh badalta hai aankhein meri samne jab tu aata hai

Dagabaaz mera chehra hai mushkura kar ghum chhupata hai— % &

-


21 APR 2022 AT 5:36

Maine ye alam bhi dekha hai tere kirdaar ka
Kayi chehra dekha hai maine pyaar ka

Sabr tham rakha hai be-sabr ho kar
Dekhna hai kya sila milta hai intezaar ka— % &

-


5 DEC 2021 AT 9:53

Thodi guftagu karle, aa khud ko sawaar kar
Baitha hoon main aaj apni, lahja sudhaar kar

-


5 DEC 2021 AT 9:27

Khud me aag lagaya ki chamak saku'n
Ab bujh kar rakh bhi ho jau'un to ghum nahi

kadam chumegi ab khushiya'an tumhari
Ab teri muqaddar me hum nahi

-


4 DEC 2021 AT 19:57

Tum gunehgaar hue ki ungli uthaaye husn par

Wo dariya-e-husn hai jashn me hona lazim hai

-


Fetching Shamsher Alam Quotes