Shamshad Amaal   (Shamshad amaal 🖤)
309 Followers · 25 Following

read more
Joined 15 April 2018


read more
Joined 15 April 2018
16 NOV 2023 AT 5:02

Tumne dekhi hai uski aankhon ki chamak,
Tumne suni hai uski chudiyon ki khanak !

Nazil hai us par zamane bhar ka husan,
Uske paaon mai paazeb aur paazeb farsh par !
Lagta hai jaise badal lehra raha ho arsh par,

Awwal awwal darje wali haseen ladki hai wo !

Jiske gesu ne makhmal ke mulayam hone per aawaz uthayi,
Samandar ko jhut sabit kiya apne aankhon ki gehrayi dikhayi!

Uski zulfon ne hawaon se dosti kar li,
Uske hontdhon ne gulab ke lal hone pe tohmat lagayi !

Apni khushboo se phulon ka haq kha gayi,
Kitab-e-duniya se khunsurti ka waraq kha gayi !

Surahi todh di apne jism ki banawat se,
Rang kha gayi zamane ke chehre ki raunak se !

Niyamete hai kaaynat mai bahut si lekin,

Ek chehra hai jo karta hai duniya ko duniya se ek taraf !

Yuhi nhi mai kehta wo behad haseen hai,

Kabhi rakh ke dekho usko ek taraf, aur chaand ko ek taraf !

-


28 DEC 2022 AT 17:21

Mai puchta hu milogi mujhse..
Woh parwaah nahi karti, woh naa nhi karti-woh Haan nhi karti,

Jiske liye likha tha mene har ek sher apna..
Woh sunti sab hai par “Wahh” nahi karti,

Dost kehte hai bhula do usey, par kaise?
Woh karti thi dhyan mera, jaise meri maa nahi karti,

Teri baahon mai mene harr ek nasha paya..
Woh harr ek nasha jo cigarette-sharab nahi karti…!!

-


1 NOV 2022 AT 18:56

Mujhe Jalan hai us insaan se jo tumhari aawaz sun kar sota hoga..
Kya vo shaksh tanhaee mai bhi tanha hota hoga,

Ek Khawab sunta hoga, ek khawab dekhta hoga aur ek khawab hum..
Kya vo fir tumhe apni baahon mai bharta hoga,

Maloom ho raat tum simat gayi ho baahon mai gair ki, kya aisa koi khayal us per keher ban kar barasta hoga,

Tumhari yaad ka bana kar bistar us per bichha ke hijar ke sole, kya raat bhar unme vo jalta hoga,
Aur fir bhi aane wali raat ko tarasta hoga,

Mujhe Jalan hai us insaan se jo tumhari aawaz sun kar sota hoga…!!

-


27 SEP 2022 AT 20:51

Mout aa jaye “ghalib” lekin…

Namaz main uska “khayal na aaye”…!!

-


11 SEP 2022 AT 3:21

We’re generation who loves sleeping
But can never sleep on time.đź’”

-


21 JUL 2022 AT 20:32

Majaz kuch aisa hai zindagi ka khushi se jayda dukh ke vasvase rakh rakh kar..

Cigarettes labo ke boose leti hai, ungliyo mai theher theher kar..

Azmaishe utarti hai harr peher raat mai, aras se aayat ki tarah magrib-Isha dekh dekh kar..

Zindagi bhot afsos raha, tere pehlu mai sath chal kar, khair baharhal Jane do, milkar karege ye baatein, kabhi asar par ya faras par…!!

-


6 JUL 2022 AT 19:05

Ae Dil pehle bhi hum tanha the, ae Dil hum tanha aaj bhi hai,,

Aur un zakhmon se in daghon se ab apni baatein hoti hai
Jo zakham ke surkh gulaab hue, jo daag ke badr-e-munir hue,

Is tarah se kab tak jeena hai, mai haar gaya is jeene se,

Koi abr ude kisi qulzum se ras barse mere veerane par,
Koi jaagta ho koi kudhta ho mere der se wapas aane par,
Koi saans bhare mere pehlu mai aur haath dhare mere shaane par,

Aur dabe dabe lehje mai kahe, tum ne ab tak Bade dard sahe,
Tum tanha tanha jalte rahe, tum tanha tanha chalte rahe,

Suno tanha chalna khel nahi, chalo aao mere hamrah chalo,
chalo nae safar par chalte hai, chalo mujhe bana ke gawah chalo...!!

-


29 APR 2022 AT 1:20

Aayat sunao mujhe koi sabar ki Qur'an se
Warna ulajh paduga mai sare jahaan se,
Vo shaam aaj tak mere seene per naqsh hai
Ek shakhs fir gya tha jab apni zaban se...!!

-


29 APR 2022 AT 0:27

Aayat sunao mujhe koi sabar ki Qur'an se,
Warna mai ulajh jauga mohabbat ke liye sare jahaan se...!!

-


18 FEB 2022 AT 19:06

Bas mai hota toh aisi saza deta tujhe
Likhta aur likh kar mita deta tujhe,
Tu bhi jaan jata toot kar bikharne ka dard
Ansu bana ke jo palko se gira deta tujhe...!!— % &

-


Fetching Shamshad Amaal Quotes