Bezaar ho jao gar tum,
Kah bhi diya karo.
Ye jhooti muskrahatein,
Chubhti hain teer si.
-
I don't know much about "ham radeef and... read more
Shaam-o-sahar khayaal me rahoon main tere dooba,
Furqat ne teri mujhko bechain kar rakha hai.
-
Aayine ke uss paar jo ek shakhs tha khada,
Haqeeqat wo tha koi ya sirf aks tha mera?-
Ye raatein hain ya azaab jo kat te hi nahi,
Lamhe ye intezaar ke ab to ghat te hi nahi,
Shab-e-wasl ki hoon khwaahish liye main dil me kabse,
Baadal hain ye firaaq k jo chhat te hi nahi.-
Yun to bahut hote hain milkar khairiyat lene wale...
Door rehkar bhi jo haal-e-jigar jaan le, use maa kehte hain.-
Daastan-e-zindagi ka ek baab hai tu
Adhoora sa reh gya ek khwaab hai tu
Main to pathhar hoon ek fizool sa...
Gauhar se bhi zyada nayaab hai tu
-
Badle ka ye zamana! kya jaane,
Inteqam se badhkar maafi hai.
Nafrat k ho lakh bahane phir bhi,
Mohabbat ko ek wajah hi kaafi hai.
-
سنو!! اے پردے کی نصیحت کرنے والو
نظریں جھکاکے چلنا ذدا تم بھی تو سیکھ لو...-
Duniya ki is bheed mein ab,
Har chehra anjaan sa lagta hai.
Lahoo hai isme ravaaan phir bhi,
Ye jism ab bejaan sa lagta hai.
Aabaad tha shadaab tha kal tk,
Wo dil ab veeraan sa lagta hai.
Qaatil hai meri khushiyon ka wo,
Dikhne me Jo nadaan sa lagta hai.
-
"Haq tera hi h mahaz" Kal tak Jo kehte the
Haq jata kr unpe main badnaam ho gaya-