Maine uss nazar se use dekha
Jis nazar se use kabhi nazar na lagi ❤️-
Pyaar kal bhi tha,
Pyaar aaj bhi hai
Tere rehte bhi tha,
Tere jaane k baad bhi hai....❤️— % &-
Kuch beetein hue pal the
Kuch beeti hui baatein...
Kuch bikhre hue khwaab the
Kuch bikhri si mai....
Kuch hadd tak sambhal chuki hu
Kuch sambhalne ki koshish ab bhi jaari hai....
Kuch kuch karke bahut kuch ho gaya
Iss kuch ka silsila ab bhi jaari hai.....— % &-
Samay hi na ho kisi ke paas,toh kyu puchte ho kaise ho aap?
Har baar sochte hai aaj kahe unse kuch dil ki baat,
Wo har baar keh dete hai "suno kuch kaam hai kal kare baat?"
Jo kal kabhi aata nahi,do pal sukoon ke deta nahi,
Hai raahon mei musafir bahut se magar ek uss dil ke siva iss dil ko koi bhata nahi.
Aisa nahi tha ki chahne waalon ki kami thi,
Magar jise humne chaha usne hume chaha nahi.
Aasman mei bahut se rang bikhare the magar,
Jis rang mei hume ghulna tha wo rang mujhse mila nahi....
-
Nahi manti ki ishq hai tujhse kyunki tujhe mai kabhi jata na saki,tujhe kabhi mana na saki,kabhi apna bana na saki.
Phir sochti hu ki kyu karti hu koshishein baar baar tujhe manane ki.....
Agar maan bhi lu ki ishq nahi hai tujhse,
Toh kyu mai tujhe chah kar bhi bhula na saki !!!!!!-
Hum utne alag hai jitna nahi hona chahiye,
Apna na lage apna aisa nahi hona chahiye.
Agar mai aansuyoon se karti hu khusiyaan bayaan,
Toh mera taur tareeka ek masla nahi hona chahiye.
Jisne lutayi hai neende khaaye hai zakhm,
Uske hisse koi adhura sapna nahi hona chahiye.-
Jo mann mei hai use labo par aane ki ijazat di jaaye,
Aankhon se khoob khel liye ab shabdo se himakat ki jaaye.
Kaha jo galat toh maaf kare,
Agar hai sab sahi toh izhaare mohabbat sareaam ki jaaye.♥-
Dobara tere saath aane ka mai khayal nahi kar sakti,
Tujhse nafrat nahi hai par tujhse pyaar nahi kar sakti.
Mai aam si cheezo par khush ho jaane waali ladki hu,
Maaf kijiye yeh mehenge uphaar mai swikaar nahi kar sakti.
Agar itne se kaam ke peeche hai tumhara maqsad galat,
Toh haan, mai tumhara itna sa bhi kaam nahi kar sakti.-
Kitne durr nikal gaye rishte nibhate nibhate,
Khud ko kho diya humne apno ko paate paate.
Log kehte hai dard hai mere dil mei,
Aur hum thak gaye muskurate muskurate .😃
Jo aankhein pehle chamakti thi wo aaj namm hai 👀,
Jo pehle chehre pe khushi thi
Log kehte hai woh ab kam hai.
Yeh kaisa daur aa gaya
Hamari khushiyaan,kaha chor aaya?-
Music is the best medication to my depression and anxiety
And YOU are the best medication to my fear-