shaikha hajera   (Shaiky)
208 Followers · 158 Following

read more
Joined 1 July 2017


read more
Joined 1 July 2017
7 SEP 2018 AT 17:38

Nadan hai wo jo humse apna gham chupaya karte hai,
Kyuki hum tu muskan me chopi mayoosi bhi padhliya karte hai;

Kyu chupate ho ye gham janab,
Is ke tu sabhi shikar hoa karte hai;

Kya hua jo tumhara dil itna roya,
Janlo bina barish gul nahi khila karte hai;

Bheeg jane do ye daman apne ashquo se,
Kyuke ye ashq hi tu aksar dil ku dhoya karte hai;

Yakeenan aazmaish me gheere,
Allah ke mahboob bande hoa karte hai;
Kyuki chamkane ke liye hi tu heere ku bhi tarasha karte hai;

-


20 JUL 2018 AT 20:36

Najane kyu dil muztar sa hai
Kyu in nazro ku kissi ki talash si hai

Kyu ye dil o dimag ki jang si hai
Kyu ye zindagi kuch adhoori si hai

Kyu har jawab sawal sa hai
Kyu har subah raat si hai

Kya hai jo ye dil chahta hai
Kyu ye chahat na mukammal si hai

Najane kyu ye zindagi kashmakash si hai
kyu ye dil muntazir sa hai

-


18 APR 2018 AT 18:41


Ek ladki
Khubsurti uski Pariyo see
Lihaaz usme Shahzadiyo ka

Tahzeeb ke sanche me dhali hue
Tameez ka libaz pehenne hue

Tabeer wo bohouto ki
Hakhikat wo sirf kissi ek ki

Wo Ek ladki
Khubsurat wo Pariyo see
Amanat kissi Shahzade ki

-


9 APR 2018 AT 19:51

Najane kyu alfazo se khella karti ho
Aksar inme apne ehsaas baya karti ho

In ankho se lamhe choraya karti ho
Aksar inse sachayee baya karti ho

Is Dil me lamhe qaid karti ho
Aksar inki Khoobsurti baya karti ho

Lafzo me jazbat baya karti ho
Aksar inme dilllo ka haal baya karti ho

-


5 APR 2018 AT 19:26

Zindagi ka falsafa kuch yoo tha
Saab kuch paker bhi dil mayoos tha

Najane kiss cheez ki talash me ye dil tha
Waqt bhi kuch hawa ki raftar sa tha

Shikayat hi thi duao me rab se

Namukammil se har khushi thi
Shayad tasavvur a Zindagi kuch aur thi

Yaa shayad tasavvur hi tha jo gunahgar  tha

Waqt ku thama sujood me tu jana
Khwaishein thi jo duniya se judti thi
Jab ye dil ne mana

Juda hua yoo duniya se jaa milla rab se

Tu samjha mukammil har khushi thi
Ankho ki nahi nazro ki zaroorat thi

Phir Zindagi ka falsafa kuch yoo tha
Palkho pe nammi aur Labbo pe shukr tha

-


2 APR 2018 AT 18:26

Rang de jo is siah dil ku bhi
Aise rang talash kar

Bheega de jo rooh ku bhi
Aisi barish talash kar

Na rook sake terri udaan kabhi
Aise par talash kar

Nafa karsake is insaniyat ka
Aisa ilm talash kar

-


31 MAR 2018 AT 18:09

Rooshni me tu kanch bhi chamakta hai
Andhero me bhi jo chamke wo hira hota hai

Ache waqt me tu koe bhi saath deta hai
Bore waqt me jo saath na chode wo hira hota hai

Aksar tarasha karro apne Kirdaar ku
Kyuki saabse qimti hira wo hi hota hai
Jisse bohout khoob tarasha gaya hota hai

-


29 MAR 2018 AT 10:46

Aaj kissi se mulakat hue
Jaise mann ki mann se baat hue

Aaj kyu najane ye baat hue
Jaise Barso baat barssat hue

Aaj in ankho ki roshni se mulakat hue
Jaise bade din baat mayoosi se jeet hue

Aaj achanak kyu ye baat hue
Jaise rooh ki jism se judai hue

Aaj merri apne ap se mulakat hue
Jaise kissi khedi ki jail se rihayee hue

-


26 MAR 2018 AT 13:17

Kissi ne kaha hai
Jab tak Rastey samajh me aate hai
Laut ne waqt hojata hai
Ye Zindagi hai

Mai khehta ho
Zindagi ku tum manzil na samjho
Ye tu hummara imtehaan hai

Rastey samaj aye ya na aye
Tumku jaha lautna hai usse hi tum manzil samjho
Phir ye Zindagi ke raste asaan ho jate hai
Ye Zindagi ki haqikhat hai

-


23 MAR 2018 AT 9:53

Ho Mai bhi insaan manle tu
Nahi koe khilona janle tu

Thi Mai wahi jab zarorat thi tujhe
Phir tu kyu Nahi yaha jab zarorat hai mujhe

Chal padi thi saath terre
Aaj kyu Nahi tu saath merre

Manzil ek chooni thi donnno ne
Phir kyu badalli rahe tune

Dhadakta hai ye dil bin terre
jaanli ye hakhikat dil ne merre

Azaad kardiya Maine apne dil ku
Maaf kardiya Maine terre bhi dil ku

Hogi tujhe bhi takleef Manle tu
Thi Mai bahtareen hakhikat janle tu

-


Fetching shaikha hajera Quotes