Yun to har ek ko shaitan se dar lagta hai
Mujhko is daur ke Insaan se dar lagta hai
Aur jiski har baat me poshida ho nishtar ki chuban
Aise har sahibe ehsaan se dar lagta hai-
Tauheen-e-Ulfat hai taalluq-e-khatir magar
Tasadduq is karam ke wo mujhe apna to kahe
Taskin-e-ana ko Aur kya 'Ashk'
Tasveer se behtar hai ki wo maujood rahe-
Ikhlas, Qurbani, Mohabbat, Daave
Lafz sabhi achche hai dil ko behlane
Shikasta dil maanta hai har ek ko masiha 'Ashk'
Nadaan ,kab samjhe ,kya jaane-
Siyah Ghurbat ki raaton me
chamakte the sitare 'Ashk'
Raees Roshni ki aloodgi me
mere pasban jaate rahe-
حیات لیکے چلیں منزلِ مقصود کی جانب
اور سازو سامان اس سفر کے نہیں
Hayaat le ke chalein Manzil e Maqsood ki Janib
Aur Saaz o Samaan is safar ke nahi
-
Wo shakhs bhi sahib-e-Karamaat hai 'Ashk'
Jiske Aibon ne guungon ko zubanein ata ki-
Tanhai khush-gavar lage
to saat toot jata hai
Girte hai mayar
to saaz toot jata hai
Aabruu ke hisar me
rehti hai mohabbat 'Ashk'
Jahan izzat na ho
to sansaar toot jata hai-
Waabastagi unse achchi nahi 'Ashk'
Jo tujhko teri nigaahon se gira diya karte hai-
Teri mehek ne gulistan ko khilaya hai Ashk
Teri muskurahat ko chaman ki huren tarasti hai-