Taqdeer ke faislon pe aitraaz nahi
Ab khud se hi dil bezaar hai..,
Mohabbat tumse ab bhi utni hi hai..
Par ab tumse ulajhna bekaar hai..!
Shayadh tumhe yaad ho wo mere raaton ka tadpna
Haan tumhare deed k liye yeh aakhein ab bhi bedaar hai..!
Yeh faasle mitenge ek din yeh umeed hai mujhe,
Mujhe mujhse bhi zyada tum pe aytbaar hai..!
-
din toh ab bhi Dhalta h,
bas shaam ki baat nahi hoti,
Mulaqatein toh Bhut hui unse,
Bas phr se wo raat nahi hoti,
Ab toh sojata hu waqt hoty hi
ratao ki neend kharab nahi hoti,
Sonchta hu phir se uthalu qalam or likhu kuch unki yaad me,
par lafz jodne ki koshish ab kamiyaab nahi hoti.-
Unse hamesha paas rehne ki koshish thi jinse ab Dooriyan Badhgyi.
waqt dene ki baat aayi to unki ab majbooriyan badhgyi.
-
Mai,meri tanhayi or yeh baarish ki boondein..,
Tumhara deedar kar raha hoon main aankhein moondey..!-
Mujhe mohabbat karne se fursat nahi, saath humein door tak jana bahaut hai..,
Tum abhi mere ho toh sahi..,fir kyun lagta hai ki tumhein abhi paana bahaut hai..-
Mai aaj b wahi Haqeeqat ko khwaab mein dekhta hoon....
jab tum sard raaton mein soyi hui thi meri baahon ki chaadar odhkar
Ab tum pata nahi kahan jaa chuki ho kuch bataye bina ..
Mujhe is haal mein chodkar..
Tumhe b to kabhi aati hogi na meri yaad...
Kya tum b neend se uth jaati ho mujhe yaad karte hue ro ro kar..
Mai aaj b wahi hoon tumhare bina b tumhare saath tumhare khayaalon mein..
Lkn na jaane tum kahan chali gayi is tarha muh modkar...!
-
Zakhm bhar jata toh acha tha ..
Dumm ghut jata toh acha tha ..
K ab saans b lene se inkaar hai is dil ko...
Tum us raat mujhse na takraate toh acha tha...
Jab bhi mai koshish karta hu tumhe bhul jaane ki .
Yeh saawan ka mausam aakar mujhpar na barasta to acha tha..!
Ab kahan jaun mai khudki zinda laash ko lekar..
Tumpe marne se pehle marjaata toh acha tha...
-
Mai kya likhu uske baare mein jisne mujhe likhna sikhaya hai...!
Mai aam sa ek pagal ladka tha usne mujhe shayar banaya hai...!
Yun toh wo bayaan nahi hogi kisi ek shayari mein
Usne khudka maqaam hi gazal jaisa banaya hai..!
Wo na bole to duniya thami hui si lagti hai mujhe
Uske baat karne se is dil ko qaraar aaya hai...!-
Raat ko neend nahi aati.,din mein chain nahi aata.,
Humko malaal rahega zindagi bhar unse bichadh jaane ka..,
or unko hum pe zara sa bhi taras nahi aata...!-