Shahnawaz Alam   (Shahnawaz)
277 Followers · 10 Following

read more
Joined 27 September 2017


read more
Joined 27 September 2017
4 MAY 2020 AT 1:55

Ek din aisa aayega
Logon mein fasle badh jayenge
Mazhab ke iss jung mein
Aur najane kitni jaane jayenge
Ye haal raha toh kuch barso mein hi
Sab log iss nafrat ke supurd ho jayenge

Phir ek din aisa aayega
Jab zor ka bijli garjega
Aur iss pak zameen pe bhi
Phir Ishq ke badal barsenge
Sab shajar khushi se jhumenge
Sare parinde naghme gayenge
Aur hariyali ki chadar odhe apne mulk mein bhi
ACHE DIN AA JAYENGE

-


29 AUG 2019 AT 2:40

Aankho mein mukhtasar sa khwaab liye baithe hai
Uski khusi ke khatir subah-o-saam bhula baithe hai
Ab to aaine mein bhi uska aks dikhayi deta hai
Hum to wo hai jo registan mein Samandar ki aas lga baithe hai
Mujhko to shaho se bagawat hai
Aur aap hai jo mahalo ka khwaab saja baithe hai

-


26 AUG 2019 AT 0:43

Aaj bhi aate jaate rasto pe tumhe dekh kar mere qadam na jane kyun ruk jate hai. Aaj bhi tumhe dekh ke dhadkne na jane kyun tez ho jati hai, Aur dimag mein jaise ek sailab sa aa jata hai, aur wo sailab apne sath wo sabhi yaadon ka mazmuwa iktha kar le aati hai. Jise seene mein dafan kiye hue ek arsa bit gya ho. wo sabhi dhundhli yaadein taja ho jati hai . Wo zakhm jo kabhi nasoor hua karte the dheere dheere risne lagte hai. Mere wo pahli diary jo tere kahne pe li thi uske har ek panne pe tumhare liye likhi hui saari ghazalein juba'n pe jaari ho jati hai.jinhe padhte hi dil o dimag ko tumhari fikr satane lagti hai, Aur dil Karta hai ki tumse puchu
"TUM THIK TO HO NA"
Lekin har bar meri ana meri gairatmandi aur mera bewakufana dimag un sabhi lafzo ko bolne se rok leti hai jo main tumhare liye har lamha mahsus karta hoon

-


12 APR 2019 AT 1:24

بس اتنی سی ہی تھی داستان ہجر و وصال یار
وہ سوال لفظوں میں پوچھتی رہی،میں جواب آنکھوں سے دیتا رہ گیا

Bas itni si hi thi dastaan-e-hijr-o-visaal-e-yaar
Wo sawal lafzo mein puchti rhi ,
main jawab aankho se deta rah gya!!!

-


4 APR 2019 AT 0:08

मुझे तुमसे इश्क है इसका दावा तो नहीं
मगर मेरे शायरी के हर एक अल्फाज में तू ही तू बसी है

सुबह उठते ही तेरा ख्याल मेरे जेहन में आए इसका दावा तो नहीं
मगर तेरी तस्वीर देखे बिना सुबह कटता नहीं मेरा

तेरे इश्क में बेचैन हूं बेताब हूं इसका दावा तो नहीं
मगर तेरे मुस्कुराने से दिल को सुकून आ जाता है

तुमसे बात करने की अब तलब सी है इसका दावा तो नहीं
मगर गैरों से आज भी तेरा नाम सुनके दिल चाक हो जाता है

-


3 MAR 2019 AT 21:32

Aaj bhi aate jaate rasto pe tumhe dekh kar mere qadam na jane kyun ruk jate hai. Aaj bhi tumhe dekh ke dhadkne na jane kyun tez ho jati hai, Aur dimag mein jaise ek Toofan sa aa jata hai, aur wo Toofan apne sath wo sabhi yaadon ko uda kar le chali aati hai. Jise seene mein dafan kiye hue ek arsa bit gya ho, wo sabhi dhundhli yaadein taja ho jati hai . Wo zakhm jo kabhi nasoor hua karte the dheere dheere risne lagte hai. Mere mobile ke notes ke purane folder mein tumhare liye likhi hui saari ghazalein juba'n pe jaari ho jati hai.jinhe padhte hi aankhon mein Noor, dil mein suroor, dimag ko fikr satane lagti hai uski, Aur dil Karta hai ki usse puchu
"TUM THIK TO HO NA"

-


22 FEB 2019 AT 20:56

Phir ek din aisa aayega
Hum tum se judaa ho jayenge
Kuch aadhe adhure waade kiye,
Wo saam ki haseen mulaqatein liye,
Aankhon mein tumhare Khwab liye,
Dil mein dabbe jazbaat liye,
Hum tum se juda ho jayenge
Sayad phir na kabhi mil payenge

Phir ek din aisa aayega
Sare parindey yahan se udd jayenge
Mandir ki Aarti, Masjid ki sadaa
Sab dheere dheere band ho jayenge

phool diye the tumne jo
Woh rakhe rakhe murjha jayenge
Phir log wafaa ke naam se bhi
Ghabrayenge,pachtayenge

Tum jhutha hi shi bas ek Baar palat kar aa jana
Jo sach likha hai qismat mein,
Aake usay jhuthla jana
Phir ek din aisa aayega
Hum tum se judaa ho jayenge......

-


21 FEB 2019 AT 22:15

Phir ek din aaisa aayega
Hum tum se judaa ho jayenge
Kuch aadhe adhure waade kiye,
Wo saam ki haseen mulaqatein liye,
Aankhon mein tumhare Khwab liye,
Dil mein dabbe jazbaat liye,
Hum tum se juda ho jayenge
Sayad phir na kabhi mil payenge

-


9 FEB 2019 AT 3:10

Ek jazba hai kuch karne ka,
ae rab mujhe nashad na kar
Sab chain gya ,sab neend gyi,
ae rab mujhe bedaar na kar
Mere mann ki tawazun dushvaar na kar
Mere dard ko aatish-baar na kar
Kuch Khwab hai mere Abbu ke,
meri maa ki dua inkaar na kar
Main bhagunga main daudunga,
kuch duur Talak to jaunga,
mere Josh ko tu bekaar na kar
Ae rab mujhe nashad na kar
Kuch dost mile hai Gulshan mein
jo raah dikhaye hai uljhan mein
Un log ko mujhse duur na kar
Ae rab mujhe magruur na kar

-


23 JAN 2019 AT 0:21

Ye samandar ki bahti lahar mein bhi tu hai,
Ye darkhato ki patto ki Shay mein bhi tu hai,
Ye fizaon mein faili hwa mein bhi tu hai,
Jidhar dekhta hoon udhar tu hi tu hai

Ye kaliya ye gulshan tera pta puchte hai
Ab tu hi bta de btaon main kya kya
Tab Mera Dil tadapte hue bolta hai,
Ye aasma ye zamin,jahan pe mil rhe kahin
Wahin pe unka Makaan hai
Wo Shahenshah-e-jahan hai,
wo Shahenshah-e-jahan hai!!!!

-


Fetching Shahnawaz Alam Quotes