Shahista Naj   (₩naj)
129 Followers · 40 Following

read more
Joined 25 July 2018


read more
Joined 25 July 2018
13 JUN 2024 AT 13:18

Maine apne DIL ke tamashe khud hi banaye hai,
Maine apni zindagi ko zahar khud hi peelayen hai,
Ab koi kya mere jazbaato ke sath khelega,
Maine apne sare ehsasat inhi haathon se dafnayen hai.!!!

-


24 FEB 2024 AT 20:36

Mere khawab mein tum
Mere Khawabo ki tabeer ho tum
Mere sath bhi tum
Mere sath hue humsafar bhi tum
Mai kaise bayan karu
Ab tumhe
Mera ishq ho tum
Mere ishq ki aakhri manzil ho tum.!!!

-


24 FEB 2024 AT 20:28

Izzat kiya karo tum waqt ki,
Phir waqt batayega sab ko
Keemat tumhari.!!!

-


11 DEC 2023 AT 22:06

Gour se dekho mujhe
Meri galtiya ginwao mujhe
Mai kho gyi hu kahan
Koi to btao mujhe
Maine khud ke sath galat kiya
bolne ka sbko muka diya
Maine socha nai tha kuch bhi
Jo bhi hua socha na tha hoga kuch aisa bhi.!!!

-


9 NOV 2023 AT 10:36

Raahe manzil ki koi nahi batata,
Apnapan ka ehsas yahan koi nahi dilata,
Manzil tumhari raahe tumhari chalna tumhe hi hai,
Sab girate hai yahan upr chadna koi nhi sikhata.!!!

-


25 OCT 2023 AT 15:51

Sabr se tu sabr kr,
Tu khud se phle ishq kr,
Pana chahta hai tu manzil agr,
To koshisho ki had paar kr.!!!

-


11 OCT 2023 AT 14:25

Yun hi nahi mil jati manzil yahan,
Yun hi haasil nahi hota kuch bhi yahan,
Agr hai kuch pane ki tamanna,
To karna hoga paar tujhe dariya yahan.!!!

-


8 OCT 2023 AT 15:54

Ajnabi se dosti,
Phir dost se pyar,
Phr thodi si takrar,
Phr kya ???
Dafan hua ishq
Dosti bhi khatam
Or tabah hue hm.!!!

-


8 OCT 2023 AT 0:59

Zindagi ki sari ruswai mere liye,
tu sari meri khushiyan le le,
Teri sari balayen Mai le lu,
tu meri sari duaayen le le.!!!

-


19 SEP 2023 AT 16:28

Tumhara humsafar hona ab ek khawab sa lagta h,
Mera mehboob mujhe mehtab sa lgta h,
Humari dooriyon ki wajah bani ye awam sari,
Mhz mujhe ye zamana ab tezaab sa lgta h.!!!

-


Fetching Shahista Naj Quotes