Baarisho se ab aankh milaana, ho nahi sakta..!!
Uske baad koi mausam suhaana ho nahi sakta...
Chupaane se nahi chupta, dikhaane se nahi dikhta..!!
Ye ishq ki sacchai hai, isme bahaana ho nahi sakta...
Wo dil pe chaa jayega, nigaaho me sama jaayega..!!
Isme kisi or ka phir kabhi aana ho nahi sakta..
Bahot hai uske chahne waale SHAHID, humne suna hai magar...!!
Koi bhi uske liye, hum jaisa diwaana ho nahi sakta..-
Zaroorat ke hisaab se ye DUA badalte rahe.!!
SHAHID ye log khud nahi badle, KHUDA badalte rahe..!!!!!-
Jism bechna hai to hawas ka bazaar bhi ho sakta hai..!!
Khareedne wala ek nahi, hazaar bhi ho sakta hai...!!
Apne dushmano ko abhi shak ki nigaah se mat dekh SHAHID
Tera qaatil to tera yaar bhi ho sakta hai..-
Kaali raat ki sehraao me chaand or taara likha tha..!!
Jisne shehar ki dewaaro par pehla naara likha tha..!!
Aakhir hum hi mujrim bane, jaane kin kin jurmo ke..!!
Zulm kari thi jaane kisne, naam hamara likha tha..!!
Tumne socha marne wala daaku or baaghi tha..!!
Maa ne phir bhi qabar me uski, raaj dulara likha tha..!!
Chote umar se apne ander, ek pyaar or insaaf thi SHAHID
Dard se khali shero me, naam tumhara likha tha..!!-
Bas yaad karke usko waqt guzaara jaaye..!
Ab fursat nahi ki uske paas dobara jaaye..!
Shak sa hota hai har ek par, kahi tum hi na ho..!!
Ab tere naam se kis kis ko pukaara jaaye..?-
Har pal dhyaan me basne waale afsaane ho jaate hai..!
Aankhe budi ho jati hai, khwaab puraane ho jaate hai..!
Sab cheez rishto me, neeyat ki sacchai tak hai..!
Shak dilo me aa jaye, to ghar veeraane ho jaate hai..!
Sab kuch badal jaata hai,ishq ka mausam aate hi SHAHID
Raate pagal kar deti hai, din diwaane ho jaate hai..!
-
Meri jaan tu bata tujh ko gawaara kya hai...???
Dard jo tujhse mila hai, uska chaara kya hai...
Kisi ne kabhi dil se pucha, to bataenge usey..!!!
Doobne waale ko tinke ka sahara kya hai...
Nayi mohabbat hogi to naya kuch seekhenge..!!!.
Hum to awaara parinday hai, hamara kya hai...
Ek din haste huwe kehne lagi wo mujhse...!!!
Shahid saare shayari to mere liye hai, tumhaara kya hai...???-
Hum ek umar isi gham me mubtala rahe they...
wo gunaah kiye hi nahi they, jiski saza utha rahe they....đđ
isiliye to mera mohabbet nakaam hua SHAHID..
Jo mere dost they, wo mujhe bewafa bata rahe they.......đ
Mai ghar me baith kar padta raha safar ki dua...
Uske liye, jo mujhse door jaa rahe they...đâšī¸
-
Ye duniya hazaaro saal me bas itni hi badli hai SHAHID
Tab daur tha Patthar ka, ab log hai Patthar ke....đ-
Dard lenge na hum dawa lenge...!!!!!
Apne hissay ki kuch saza lenge....âđģ
Baat wo jo kabhi huwi hi nahi...!!!!!
Hum usi baat ka maza lenge...đ
Kaanch sa dil kaha pe rakhoge...!!!!!
Log patthar agar utha lenge...đ
Wo agar ban gaya koi manzar...!!!!!
Hum usey apni aankh me saja lenge...đ-