Jee Haan, Zamana badal raha hai Waqt bhi badal rahe hai, Umar ke saath saath Jazbaatein bhi badal rahe hai, Pehle jisse hazaron baatein karke bhi Guftagu khatam na hoti thi, Aaj sirf chand alfaazon mein hi Mulakat puri ho jaati hai.
Zindagi ke safar mein Kaafi log milenge Kuch rahenge Aur kuch alvida keh jayenge Apne hai ya paraye Yeh toh baad ki baatein hai Insaan hai Bas insaaniyat ke khatir Apna haath zarur badhayenge
Jab bhi tumhe dekhu Ek sukoonsa mehsoos hota hai Tumhe chand ki roohaniyat kahu Ya fizaon ki hoor Yeh kashmakash mein Dil hamesha khooya rehta hai, Nooraniyat toh Iss jahan mein hadd se pare hai lekin Tumhari muskurahoton pe hi Akhir yeh jaan nisar hota hai....