Shahbaz Seraj   (شہباز)
29 Followers · 40 Following

Not needed.
Joined 23 January 2020


Not needed.
Joined 23 January 2020
2 JUN 2021 AT 15:44

Teri zarurat kuch aesi hai mujhe ,
Jaise ek jism ko rooh ki .

-


20 JAN 2021 AT 0:52

Bas itna ameer hona hai ki ,
Har gareeb ki madad kar sakun.

-


7 SEP 2020 AT 2:31

Tu zameen ko aasman keh de wo bhi man lun mai,
Tu suraj ko chand keh de wo bhi man lun mai ,
Tu Zindagi ko maut keh de wo bhi man lun mai,
Agar khuda bakshe sath tera ,
To is duniya ko bhi jannat man lun mai.

-


20 JUL 2020 AT 14:45

( aey Allah ! ) hum teri hi ibadat kertay hain , aur tujhi say madad maangtay hain .

-


17 APR 2020 AT 1:32

Ab to khawab bhi na ate khawabo jaise,
Zindagi to bas sanson ke bharose chal rahi jaise .

-


27 MAR 2020 AT 0:55

Zindagi ke safar me
Chalna hai tanha tumhe ,
Raste to btane wale honge hazar
Lekin sunna unki jo manzil ko pohche.

-


13 MAR 2020 AT 1:31

Meri udasi ko meri mayoosi na samjhna,
Meri khamoshi ko meri kamzori na samjhna ,
Meri nadani ko meri galti na samjhna ,
Khair ye to meri tareef thi ,
Lekin jo log keh de yuhi ki hum hain tmhre apne,
Bas itni jldi unhe apna mat smjhna.

-


13 MAR 2020 AT 1:14

Suna tha badalta to sirf waqt hai ,
Par is duniya me insan badalte dekha,
Apno ko bhi anjaan hote dekha,
Kitne jism ko bejaan hote dekha ,
Raunakon ko sunsan hote dekha ,
Bhut si khushiyon ko gumnam hote dekha,
Aur akhir bat ye samjh ayi ,
Waqt to apne hisab se chal rha ,
Maine to sirf halat badalte dekha.

-


9 MAR 2020 AT 0:47

Khwahishon ka koi kinara hota,
Lakh nematein mil jaye ,
Fir bhi insan ka guzara nahi hota ,

Zindagi to ek kashti hai janab ,
Kab kaha doob jaye ,
Iska koi thikana nahi hota .

-


7 FEB 2020 AT 22:44

Aye zindagi bata aur kitne dard dene hai tujhe,
Karke sauda is dard ka azaad karde mujhe ,
Ke ab taras gaya hu jee bhar ke muskurane ko,
Ya fir ho sake to maut ke hawale kar de mujhe.

-


Fetching Shahbaz Seraj Quotes