Kash wo kar liya hota, jo aaj tak kiya nahi,
Kash ma baap ki baat sun liya hota,
Wo kahte the beta waqt rahte hi jo karna hai wo kar lo,
Waqt kisi ke liye rukta nahi,
Bita huwa waqt laut kar kisi ke liye aata nahi.
Aaj halat aise hai, kosta apne kismat ko hun, koshta apne rab ko hun
To kya ye sahi hai,
Galti maine ki hai, to sza bhugatni bhi hai.
Kash wo kar liya hota,,. Jo aaj tak kiya nahi
Mohabbat bahut thi unse par kabhi kaha nahi,
Mauke kai mile hume, par bhuzdil thaura jo mai,
Kabhi bhi ek kadam aage badha hi nahi,
Pyar kar ke bhi be wafa ban gya mai,
Kuch n karke bhi bahut kuch kar gya mai,
Ek Masum ka dil tod baitha mai,
Pata nahi itni badi galti kaise kar baitha mai,
Kash wo kar liya hota, jo aaj tak kiya nahi,
Jis se bhi mila dost ki tarah hi mila,
Dushman kisi ko samjha hi nahi,
Kis ko mujh se pyar hai, kis ko mujh se nafrat,
ye kabhi socha hi nahi.
Ab dosto aut dushmano me antar lagta nahi,
Sab ka behaviour ek jaisa hi, koi kisi se alag nahi.
Kash wo kar liya hota, jo aaj tak kiya nahi.
-