Dar hai ki tujhe kuch pata bhi na chale
Masla yeh hai ki sab batana bhi hai tujhe-
Phoolon par dekh ke shabnam ki kuch boondein
Kisi ka kuch hi der zindagi me rahna yaad aagya-
Khoye khoye se hum bhi khoye khoye se tmbhi
Yeh kya masla hai jo labon par aata nahin
-
Woh khushgawar mausam woh tanha shaam
Qisse puraane kai yaad aate aate rah gaye-
Hum aseeri ka lutf kuch is tarah utha lete hain
Ghabra jaate hain to bediyan hila dete hain
Jisne dil ko dukhaya kai baar hum usko bhi
Dene pr aajayein to jeene ki dua dete hain-
Aapsi rishton ki talkhiyaan munhadim krdo
Ishq ka parcham aisa lahrao ki buland krdo-
Bewajah hi sab masroof hain zamane mein
Yeh dekh kar mujhe meri tanhai acchi lagi-
Khwahish adhoori kai rah gayin
Baatein zaroori kai rah gayin
Na ab waqt bacha na hi ehsaas
Jeena faqat majboori rah gayi-
Ajab tanhai ka main shikar ho gaya hun
Dekha jaye to zehni beemar ho gaya hun-