shagufta khan   (shagufta khan)
71 Followers · 3 Following

Joined 16 April 2017


Joined 16 April 2017
4 AUG 2023 AT 3:03

Dekha hai humne yun to dariya ko kayi baar,
Saelaab utha hai to laga, ye bhi khtarnaak…

Zalim hai zamana, muhabbat ki hai talaash,
Ankho me chupe ansun aur har shai me hai ek kaash…

Iss kaaash ki intehan thi ki bhatakte rahe janaab,
ayen hai talabgaar ek zindagi ke baad…

-


26 JUL 2023 AT 16:30


Kitna achha na hota ki insaan hi rahta
Mazhab me bate hai, to haiwaan ho gaye

Ankho lahu laal aur dilon me hai nafrat
Ye kaise adam se iblees ho gaye

Jis sir ko jhuka sar kiya karte the sazda
Uss sir ko utha kar yun gibatkar ho gaye

Watan ki muhabbat to khoon me rawa hai
Baha jo khoon to fir hum abbas ho gaye



-


6 JUN 2023 AT 21:01

Kahan hain wo log jo Aasmaano ki baat karte hai..
Phool taaron ki baat karte hai..
Aur Ye kya mazhab mazhab laga rakha hai..
Kahan hain wo log,? jo insaano ki baat karte hai…!

-


20 MAY 2023 AT 17:39

Hasi khushi me apna tera dil laga rakkha hai
Kabhi socha hai nahi ki dil ka haal kya ho rakkha hai?

-


20 MAY 2023 AT 17:38

Hasi khushi mein tera dil laga rakkha hai

Kabhi socha hai, dil ka haal kya ho rakkha hai?

-


11 JAN 2023 AT 21:45

Wo jo zabaan tak na aye use kya kahte hai..
Wo jo rabb ke thoda aur kreeb le jaye use kya kahte hai..
ye hawayein kaise choo kar jaa rahi hai..
Aur ye kabootar kis rukh jaa rahe hain..
Ek sandesa hai mera le jaoge ?
Ae kabootar tum kahan tak jaoge ?

-


24 DEC 2022 AT 17:01

Chand ko dekhna ek aur baat hai
Chand ki doori ek aur baat hai
Woh to khoobsoorat hai adha ho ya mukkammal
Fir Use paa lena ek aur baat hai

-


24 DEC 2022 AT 4:50

Manzil manzil khel rahe the, ankh me choli chupke chupke
Dekho nazar me aa hi gayi, sadak kinare nadi purani
Abb thanda pani mil jayega
Dhul jayega waham ye sara
manzil manzil fir ye boli
Ab Kaise khelun aankh me choli

-


10 SEP 2022 AT 18:32


Bhot mushkil se sambhala hai khud ko kayi tassaliyan de kar,
Aaye hain khwaab fir neend udhane wale !
Purane ghaav bharey to nahi the ab tak,
Chaley hain teer fir ghaav lagaane wale!
Kahin marham bhi to hoga inn zakhmon ka,
Lagi hai aas rabb se sirf isi waste !
Ye bhi ek ajeeb zariya hai, kareeb rakhne ka,
Warna kaun kahta hai ki jahan me khuda bhi hota hai,
Kaun kahta ki maujze bhi hua karte hai
Kaun kahta khuda har shai me basta hai
Meri duniya to tum ho sambhalo mujhko
Meri ankhon me tumhe kaun sa rabb dikhta hai
Kaisa dariya hai jo chalak ke kahta hai khara pani hai
Bas Bahta hi rahta hai
Dil ki tamanna hai, koi dil kabhi toote na,
Koi apna kabhi kisi se roothe na,
Dil toota to fir wo afsana yaad aya
Mere bachpan ka wo zamana yaad aya
Kaisa bachpan tha har baat se anjaan the hum
Pyare dada the aur ghar ki jaan the hum
Sabhi ko apna maan liya karte the,

-


8 JUL 2022 AT 20:53


Mere mazmoon me tera zikr to hai..
Zara thaher ke dekh ki thodi fikr to hai..
Lagi hai aag gali me tere jaane ke baad..
Aye mere yar ye dushmani kaisi ek muhabbat ke zamane ke baad..
Ye tamashe hai zamane ke tu bahek na magr..
Ye gam aur hai ki tu hi tamashe me se hai..
Teri har baat bahut door tak ae mere sath..
Safar lamba tha ,
thand zyada thi ,
koi thi nahi rajai mere pas..
Teri baaton ne magar aag laga rakhhi hai..
Shaher jal gaya sara aye mere dost,
tune ab kya ye ruswae macha rakkhi hai..
Isi taskeen me thoda to thaher tu.. ghar toote , bikhri laashein hai..sari nafrat bhari bazar me jo yun jala aya tu
Muhabbat hi muhabbat rahi baki inn fizaaon me mere dost..
Mere mazmoon me tera zikr to hai
Zara thaher ke dekh ki thodi fikr to hai



-


Fetching shagufta khan Quotes