Kash tere ankho ke samandar me mera guzara ho jae ....
Fir tu apne palke jhukae, aur kinara ho jae !!!!
Tujhe itni shiddat se padhu ki tera ilm muqammal ho jae ....
Tu bas qalb me soche, aur mujhe ishara ho jae !!!!
Har dafa tujhe dekhne ki khwahish yu is qadar kaamil ho jae .....
Mai urooj pr dekhu, aur tu saiyara ho jae !!!!
Kudrat ke daryaft ko ab hasrat baki rhi na dil me ....
Ab bs tu kaynat ho jae, aur ye shakhs tera banjara ho jae !!!!!
Khamosh ulfat ki khumari me musalsal izafa ho jae .....
Gumnam Arzoo ek shakal farmaye , Aur ye ishq hamara ho jae !!!!!-
For me : you are what I am
So think wisely about me dear😉
Rubaru hokar v wo mere kaifiyat se na waqif, kiya kya jae ,,,,,,,
Wo haskar bate krte, mai muskra kr unhe sunta, kiya kya jae .........-
It's gd to celebrate but having the glory of
triumph everytime over any subject will
migrate ur status to the destination of veinity-
For some moments shut ur eyes and ready for a dark battle .. A battle where there is a war against u , a war with no weapons and ammunitions but a war wid a healthy conversation. A war wid ur fear, ur tear , ur insecurity and ur surety. Try to warmth them, heal them as they r good friends from a very long time.. now it's tym to leave them all ony by one, step by step.. as they corrode u day by day ... it's hard to leave them as they r wid u from back time ago and developed a strong bond and this is what a challenging battle comeaway
Once they begin to depart, the dark blockage withdraw overtime and brightness ready to glow bit by bit , little by little...
Now open ur eyes and ready for a bright battle. A batte where there is a war against world... A war with no weapons and ammunitions but a war wid a healthy competition....
_Shadan
-
Wo siyasat garm karte rhe...
Bhadka unhe, unki kaum, mulk parasti ki sawalat kar
Shahar dhuadar ho gya
Haste rhe unki akl pr , watan ki halat par-
Ahista Ahista wo jeene ki wajah ho rha tha ,,,,
Ahista Ahista wo zindagi se kaza ho rha tha !!!-
Ek mashhoor farman likhta hu
Un faslo ka anjam likhta hu
Sikhate mazhab se taulna logo ko
Beshak zruri insan likhta hu
Hai fankari ya rozi inki
Ye barqat be-imaan likhta hu
Tum Deen-Dharm me jung ldo , wo zaat pr taiyar rhenge
Haroge tum hi ye paigham likhta hu
-
Taqdeer ki hawa ki bezari dekhu
Ya sar e aam maut ki bazari dekhu
Asptalo ke bahar awaam ki darwaari dekhu
Ya is rash me wo killat ki pahadi dekhu
Kaho tumne ni dekha wo ashqo ka sailab
Ya chillati us cheekh ki hahakari dekhu
Amar ki jalti arthi ki wo tapish dekhu
Ya Abdul ke supurd-e-khak ki taiyari dekhu
walid ko saanse dilane us aulad ki bekrari dekhu
Ya aulad ko marta dekh us bap ki lachari dekhu
Han deede surkh kr sara mukam dekhu
Fir Hukumat ki hikmat me kaafi beemari dekhu
-
Khamosh hokr logo ki khamoshi sunta ,,,
Darr tha !!!!!
Log khamosh hokr uski khamoshi na sunle ....-