Rastein anjan hain par benam to nhi Safar mushkil hai par safar to hai na Kuch seekhna hai kuch seekhana hai Yun hi karwane muqammal kar guzar jana hai
Apni kamzori ko apna banane lagi hun Khwahishon ko khud tak hi rakhne lagi hun Jazbatein ishq ko bhi chupane lagi hun Ab chupchap sabkuch sehne lagi hun Isi andaz me jeene lagi hun khone lagi hun.
Koi kisi ka asra nhi hota hai Sab zamane ka khel hota hai Koi toot kar bikhar raha hota hai To koi haseen pal me nikhar raha hota hai Koi asani me jeena chahta hai To koi mushkilon ko par karne ki chahat rakhta hai Koi humsafar bnana chahta hai To koi jogi bana bhatakta rehta hai Sab zamane ki ummeedon ka khel hai Zindagi to bas ek choti si kahani ka nam hai
Ek lambi dastan hai abhi baqi Tujhse milkar muqammal hona hai abhi baqi Har sapne ko haqqeqat me badalna hai abhi baqi Tera izhare mohabbat wo bhi to hai abhi baqi Kuch behisab or mehdood ashiyan hai abhi baqi Ek lambi or haseen dastan hai abhi baqi
Zindagi thokare khakr hi seekhati hai Akhir isi me manzil jo chipi hoti hai Ummedon ke lahar se parda jo hatati hai Mushkil rahon par chalna seekhadeti hai