Shabana Saifi  
598 Followers · 47 Following

read more
Joined 27 July 2018


read more
Joined 27 July 2018
26 DEC 2022 AT 23:22

Me haya Suleman nahi thi
jise jahaan mil jata hai .

Na hi me imama Hashim hun jise koi salaar Sikandar duaon me mangta hai.

Me wo maliha hun ,jo apne baad ki kahaniyon ko adhura chod jati hai.

Me aayishe Gul hun, jo khamoshi se apna rasta alag kar leti hai.

Me farishtey Ibrahim hun,
Jiski sari acchayi ko log ek galti me bhool jate hain.

Me aabdar ubed hun jo apni sacchi mohabbat ke bawajood,
kisi ke dil ko na pighla saki

Me seherzaar hun jiska koi sath nahi deta.
Me wo Veera hun jo chupchap amriya ko uska ,Aliyan sonp deti hai

-


12 FEB 2022 AT 23:06

Beshumar jakhmon ki mishal hun main
Fir bhi hans leti hun kamal hun main— % &

-


12 FEB 2022 AT 15:59

Wo khulkar kuch bola hi nahi
Dhokha bhi dhokhe se diya usne— % &

-


12 FEB 2022 AT 15:45

Tamam umr gujari hai uski sohbat me

Wo ek shaksh jo mujhko kabhi milaa hi nahi
— % &

-


11 FEB 2022 AT 12:17

Tum meri wafaon ka itna to sila dena
Jab mujhsa mile koi, Mujhse bhi mila dena

Tafseel koi puche, tumse jo mohabbat ki
Agaaz chupa lena, anzaam bata dena

Dushman ko saza dekar, rushba na kro khud ko
Behtar he yhi usko, najron se gira dena

Koshish jo karte ho maazi ko bhulane ki
Kya wakayi asaan hai yadon ko bhula dena

Barbaad hua ye dil kis darza mohabbat me
Mar jayega wo sunkar usko na bta dena— % &

-


11 FEB 2022 AT 12:07

Sar se lekar paon tak
Sari kahani Yaad hai
Aaj bhi wo shakhs mujhko
Muh jubani yaad hai
— % &

-


11 APR 2021 AT 22:44

Suna hai dhundne se Khuda bhi mil jata hai......

hum bhi mil jayen shayad tumhe toote hue Sitaron me.....

-


14 MAR 2021 AT 12:28

Zist ki raah me tanha jo bhatkti hun me
Ye wafaon ka hai inaam yahi lagta hai
Jagmagayenge dar-o-bam uske aane se
Laut aayega kisi sham yahi lagta hai
Bhulna usko he aasan............. Lekin
Hum se hoga nahi ye kam yahi lagta hai


-


13 MAR 2021 AT 23:03

Hum bhi phoolon ki tarah aksar tanha rehte hain...
Kabhi koi tod deta hai..
Kabhi khud se toot jate hain..

-


19 FEB 2021 AT 10:45

...सज्दों और तस्बीहों का ही नाम नहीं है
सज्दे और क़ियाम रुकू और तस्बीह बंदगी की अलामत हैं-
मगर इबादत के कई रंग और भी हैं
वो जो अल्लाह की मख्लूक़ के लिए आसानियां तलाशता है-
वो जो अल्लाह के बंदों के लिए दिल में बुग़्ज़ और हसद नहीं रखता है-
वो जो उसके बंदों का बुरा नहीं चाहता वो भी अब्द है उसकी इबादत का भी एक दर्जा है.....!!!!

-


Fetching Shabana Saifi Quotes