Sehar Ahmad   (Sehar ⓒ)
1.1k Followers · 14 Following

inhale sky. exhale stars.
Joined 26 September 2017


inhale sky. exhale stars.
Joined 26 September 2017
20 NOV 2023 AT 2:55

ḳhud se hāra baitha maiñ, jāne kisne avāz dī,
karishma-e-ḳhuda kaho, chehrā vo yād āj bhī.

ziddī dil ke ḳhatir kayī namāzeñ bhi qazā huī,
āshiquī nahiñ par haiñ lafz vahī andāz vahī.

shahr-ba-shahr dHundā tab jā mulaqāt huī,
hāthoñ ko tHāma mire, shayad hamrāz yahī.

manzil na dikhe par phir bhi thi safar tum hī,
'ahmad', haqīqat se yu.ñ rābta toh tha lāzmī.

likhne jo baitha, mohabbat ki intehā miri,
ḳhatam panne mire, yeh kaghaz hai ākhirī.

-


21 APR 2023 AT 3:52

he would rather die than fall in love all over again,
for only love which is untruthful, with deceit, sustain.

some memories remain like a dagger in his heart,
sending shivers down his spine, tearing him apart.

people say the warmth of love brings solace and light,
for him, it's a memory that haunts him day and night.

so, he would choose death rather than love again,
since love has left him with nothing but endless pain.

to fade away into an eternal slumber and be at peace,
than to love again and watch his heart slowly decrease.

perhaps one day, when things won't just begin to end,
he will take a chance to heal, to love, and to transcend.

but for now, he will linger in the shadows of his grief,
achingly waiting for a love that's forever out of reach.

-


4 MAR 2022 AT 17:50

tirā bītā hua ḳhvāb huñ maiñ,
mirā ba-dastūr maqām hai tu.

tire guzarte waqt ka asbāb huñ maiñ,
mire har sehar ka anzām hai tu.

-


10 JUN 2021 AT 3:27

ḳhalish-e-nihāñ se bad-numā mera chehra kar do,
furqat se pehle jāna, zaḳhm koi gehra kar do.

armānoñ ki mayyat se ho kar jo jalta hai charāġh,
uski raushni se behtar har-sū meñ andhera kar do.

-


7 JUN 2021 AT 3:31

ash.koñ se āqibat mere yār karoge,
ek din tum mera intizār karoge.

jo mujh par hai guzri kū-e-yār meñ,
yād tum bhī unhe bār-bār karoge.

meri ġhalatī par biGadte khūb ho lekin
ġhalatīyāñ khud bhī sau-hazār karoge.

faḳhr tha tumhe kitna hamare pyār par,
unhi ehsasāt ka tum karobār karoge?

davāoñ se qarz meñ milti hai nīñd meri,
āj jagāne kauñsa bhes iḳhtiyār karoge?

-


3 JUN 2021 AT 2:05

ba-zāhir hai ḳhushi par andar se TūTa,
jāne kab tak rahega tu ḳhud se rūTha.
pehle faqat ashko.ñ par yeh ilzām tha,
magar āñkhoñ se terī ab lahū bhī jhüTha.

-


7 MAY 2021 AT 2:21

tulū-e-āftab par bhī har-sau jaise andherā hai,
rubarū-e-yār ke baad hi ab mera sawerā hai.

safar meñ is qadr marham-e-hamrāz ho tum, ki
ab dil-e-na-shad meñ bhī ummīdoñ ka baserā hai.

zarra-e-na-tapida ko jaise hausla-e-rabāb mila,
han, jo khayaloñ meñ ta-qayamat tu mera hai.

-


1 FEB 2021 AT 4:21

hai nahīñ jitnā aasān zindagi ka safar lagta hai,
gar tūte toh khud se tanhā milte darr lagta hai.

par vo daur-e-zindagi meñ shād ho nahīñ sakta,
umr-e-guzishta se jise nikalte darr lagta hai.

-


16 JAN 2021 AT 3:53

aye mire ḳhudā, faqat tu hai faa'il-e-jalva-numā,
tire dar khaḌā banda tira zakhmoñ ki kar tu hi davā.

zindagi toh jaise bewajah hu.i, kyūñ is qadr tanhā kiyā,
taish-e-yār se maulā, yeh butūn-e-zaat tu hi bachā.

mira kāshānā-e-dil toh tarikī-e-shab meñ kho gayā,
ḳhauf-e-sehar meñ jayeñ kahañ manzil-e-rah-ravāñ tu hi batā.

-


13 JAN 2021 AT 1:30

vaqt-e-fursat mile zra to maiñ apna jahañ sañvār lūñ,
aakhir meñ tire aage yeh kama.ī duniya bhī haar lūñ.

tune pucha tha sawal mujh meñ izm-e-qayam ka,
aur idhr mira dil hai ki tujhe seene meñ utār lūñ.

āj jo dīdār-e-yār hua, nigāhoñ meñ khumār kāfi hai,
kahīñ kisi gai.r ko bhī tire naam se na pukaar lūñ.

ab tire khayāloñ meñ dūbe hu.e hoti hai sub.h miri,
kaash ki saare shab bhī tere pehlū meñ guzaar lūñ.

-


Fetching Sehar Ahmad Quotes