Kaid kar rakha hai parinde ko, Waqatan-f-waqatan usaka khayal bhi rakhata hu, Wo kehti hai use aazad kardo, Par ruk jata hu is khayal se koi iski bhi kimat na lagade.
Jo khawab kabhi sine mai sajaya tha, Tu usaki tabir banke aaya tha, Mahaz yehi nahi mohabbat ka takaja tha tumse, Phulo ko baag banana bhi shikhaya tha.