SDA Poetry   (SDA Poetry)
57 Followers · 63 Following

I want to be a writer. Born in Feb
Joined 17 May 2018


I want to be a writer. Born in Feb
Joined 17 May 2018
17 MAR 2023 AT 3:16

Har cheez toot k bikhar jati h


Aur insan tootne k bad sanwar jata hai

-


11 APR 2022 AT 3:37

Azaabe ilahi ane wala hai,
Na haq pe khamosh log
Parcham lehrane wala h

Aur jo krte h batein badi badi islah ki
Dekho wahi to Masjid girane wala hai

Haq pe kaun h ye sab jante h, tum rehne do
Phir bolte hai; sach to goonga batane wala h

-


31 DEC 2021 AT 1:53

Munafiqat ki raah me utar gye
Chote chote gunaah krte!!

Aur jo poocha suboot parsai ka
Bas muskura diya marte marte.......

-


13 NOV 2021 AT 0:23

Mujhe mukhtasar sa yun chor diya
Mere dard ko yun nichod diya

Kabhi is qadar kabhi us qadar
Har taraf aur dar ba dar........

Mujhe ranj o gam ka suroor diya
Mere dard ko yun nichod diya

Mai phira kahan kahan tere liye!
Tune mujhse hi muh mod liya

Mujhe ranj o gam mein lapet
Yu is tarah se hai chor diya

Ki mai jee rha hu bas tarah
Jis tarah se tha chor diya.

Mere dard ko yun nichod ke
Mujhe mukhtasar sa yun chor diya

-


27 OCT 2021 AT 16:55

Ye dikhawe ki duniya hai, koi bhi farig nhi yaha ria se
Mai to dang reh gya! Jab dekha gaur o ziya se

Parde pe parda tha, uspe bhi mukhauta
Mai to baitha tha, bht door tha baitha...

Phir waqt ne mera kaan umetha
Be hijaab hota gya, Mukhauthe dar mukhauta

-


16 OCT 2021 AT 2:30

Tum samjhi nahi meri khamoshi ka Matlab.
Hum labon ko yun khola nahi karte.

Gar che kholte h zuban ko
Saamne wale ko choda nhi krte.

Mujhe bhi ata h baton ka jaal bun na
Magar ria ka chola hum odha nhi krte.

Tumhe bhi kr denge qayal apne qaul se
Magar dosto k dil hum toda nhi krte

Sazishen ki thi kisi ne mujhse bhi
Magar purane panne hum khola nhi krte.

Yu to mai bhi hua tha deewana kisi ka
Magar sukhe patton me heera tatola nhi krte.

-


16 OCT 2021 AT 1:23

Ek shakhs ne kaha,Bht badi bhool hogyi
Maine kaha masjid chala ja, ache achon ki dua qubool hogyi.
Usne kaha mai kafir hu,wo meri nhi sunega
Maine kaha tu to phr bhi insaan h, shaitano ki dua bhi qubool hogyi

Wo khne laga mai bht majboor aur lachaar hu
Maine kaha mayus na ho wo madadgaar hai.
Usne kaha bura hu mere sar burai sawaar hai
Maine muskura kr kaha, are wo parwardigaar hai

Itne me wo phoot phoot k rone laga,
Khne laga! mai zina kaar hu
Maine kaha! tu palat to sahi
Uska bht bada waqaar hai.

Usne kaha! kya khatakaro ki wo sunta hai
Maine kaha! unhi me se to wo chunta hai
Usne kaha! kya meri maghfirat ho jayegi
Maine kaha! usne chaha to jannat teri ho jayegi

-


11 SEP 2021 AT 3:20

Kar ke parvaaz jo shaheen hue!!

Baaz ki nazar mein chubhne lage..

-


6 SEP 2021 AT 18:28

Zubaan se nikle har alfaaz haqeeqat to nhi!!!

Padh skte ho to meri Ankhein padh lo...!!!

-


1 SEP 2021 AT 18:13

Kar ke wafa har gair se

Apno se door ja baithe hum

-


Fetching SDA Poetry Quotes