Kitni khaamosh rahi thi mohabbat humari,
Kambakhat ek judai ne hume badnaam bahut Kiya.-
Woh Roz Mila mujhe khwabon mein,
Bas mila nahi mujhe lakeeron mein.-
Ab itna gir chuke hain tumhare prem mein,
Ke ab uthna bhi chahen toh sirf
ab uth hi jaye.-
Bachpan, ho sake to theher jaana,
Jawani ke daur sirf aise hain yahan ke,
Kuch ajnabi hue....
Kuch bewafa hue....
Aise hi na jaane kitne yahan juda hue.-
Ab na tum ho, na tumhari tasveerein hain,
Maine bhi ek inqilaab kiya hai,
Sirf un tasveeron ko hi nahi, tumhare ishq ko bhi jala diya hai.-
Ab na tum aati ho, na aasun aate hain,
Ishq ka yeh kaisa daur hai?
Ab na sukoon milta hai, na tumhe bhula paate hain.-
Lad sako zamane se bhi,
Aisi koi wajah chahiye.
firse toote dil toh bhi sahi,
Mujhe tumse hi ishq chahiye.-
Meri shaamon ka bedakhal hissa ban gayi ho tum,
Mere kisson mein kabhi na khatam hone wali woh baatein ban gayi ho tum,
Koi puche mere hisse ki zindagi se
Yeh kya ban gayi ho tum?-
Aur fir hum kabhi nahi Mile,
Na maine awaaz di,
Na usne kosish ki.-
Main har ek churahe pe tumhare mere ishq ki daastaan padhungi,
Tum jee aana apne hisse ki zindagi,
Main tab bhi ghar baithe tumhara hi intezaar karungi.-