Bahot se gila hai tere liye iss dil mai
Lekin jab yaad ata hai ki shikayat toh sirf apno se karte hai
Toh mai khamosh reh jaata hu-
An ordinary man with an extraordinary God
The lost ... read more
Meri khushiya bardash nahi ussey
Isliye apni baato'n se woh mujhe mayoos zaroor kar deta hai
Bechain karke mujhe
Woh khud raato'n ko sukoon ki neend sota hai-
Dosti mai haq jataya jaata hai ehsaan nahi
Kyuki kisi ko ehsaano ke taale dabana gulami hoti hai, dosti nahi-
Khuda meri khushiyon ki parwah zaroor karta hai,
Isliye toh meri kismat mai dosti ka sabaq itni khubsurati se likha hai-
Na jaane kab itne maghroor huwey hum
Ke saare apne humey chhod kar chale gaye
Jaan se pyaare jo hua karte thay kabhi
Aaj ajnabi ban kar reh gaye-
Jis mukaam par izzat na mile waha se mohabbat bhi dhire dhire khatam ho jaati hai
-
Kisi se baat karna bhi unhe izzat bakshna hota hai
Aur zindagi mai kayi bar
Hum kisi galat shaks ko yeh izzat de kar
apni hi nazaro mai gir jaate hai
-
Aur yeh mat bhul jaana ke Khuda ke naam par hum bas firka parastish karne lag gaye hai
-
Nashe mai iss kadar labrez hu, ke ab mujhe hosh kaha aata hai
Mujhe Khuda mai mohabbat aur mohabbat mai Khuda nazar aata hai-
Kabhi jo mera khayal aye, toh tootey huwey sitaaro mai mujhe dekh lena
Kabhi jo mujhse milne ho, toh kisi tootey huwey dil mai mujhe dhoond lena-