Maine zindagi ki kitab ko
Tere lafzo se h saja Liya
Tu Mila mujhe h wha wha
Jahan sb ne Daman bacha Liya
Mere dard me meri wahshaton me
Kya khub khud ko Sama Liya
Jahan roshni ka pta na tha
Koi raston k nisha na the
Tune khud me mujh ko chupa Liya
Maine zindigi......
Tere lafzo......
-
Haqiqt k dareechon se ek khuwab guzar k aya h
Ankho ne thandak dil ne lutf bhut hi paya h
Sohbat jin khusboo khusboo baaten jinki meethi meethi
Unke haato ka bosa lekr unko gale lagaya h-
Hame to bs shauk hai itna k tum se guftagu hoti rhe
Fahad Tumko sunte rhe aur Teri arzoo hoti rhe
-
Faqat, Teri deed hi is dil ko sukhan deti h
Wrna ye Duniya to ankhon ko chubhan deti h
یا سابر پاک
-
Dard jab ruh ko pahuche to koi dwa kaam na aye
Shikayat jisse h maloom use bazahir uska nam na aye
Yu bhi ulfat k zamane me hua krta h aksar dekho
Fahad Baat ho to dukhe dil na baat ho to aram na aye
-
Lakh ki koshish hmne mgr tere ilzaam baki rhe
Mukammal kiye kitne fir bhi khuwab baki rhe
Jhuto'n ko sab nawazte rhe dam ba dam dekho
Sach bolne walo'n k magar ina'am baki rhe
Thakan se choor ho kr jb hisab krne baitha
Sab kaamo me zaruri sare kaam baaki rhe
Baarhaan tujh se jo hua kiya tune mere liye
Fahad Mera adal ye h ki tujh se salaam baaki rhe
-
Haqiqt k dareechon se ek khuwab guzar k aaya h
Ankho ne thandak dil ne lutf bhut hi paaya h
Sohbat jinki khusboo khusboo baaten jinki meethi meethi
Fahad Unke haato ka bosa lekr unko gale lagaya h
-
ummeed h k tum hanste khelte hoge
Yaha to bin awaz tumhare jina muhal h
-
Karoge tarq e talluk yuhi to dil se bagawat hogi
Sukoon jb mai hi hun to kahan tumko rahat hogi
shikayat lakh h tujhko Kabhi socha nhi tha ye
K Meri har baat pr tujhko gawahi ki zarurat hogi
-
Khushi ho khuwab ki tabeer to kitna accha h
Nazar me bs rhe teri tasweer to kitna accha h
Kash Jb bhi chahun to wo roo ba roo ho mere
Fahad Meri dua me ho wo taseer to kitna accha h
-