Me soya nahi kai raat , tere khayaal me gum tha
Kar raha tha jo khudse , us sawal me gum tha
Tune bhi ki thi mohabbat, sirf yahi soch raha tha
Aankh khuli to yaad aya, ajeeb se khayal me gum tha-
Mene jaga kar usse bs itna sawal kiya,
Mein soya nahi ab tak tum sukoon se to ho .-
Ye sari baat mene keh di usse
Tha jo mera haal me dikha chuka usko,
Ab bhi agr door hai to kya kahun usse
Ye galti meri nahi kusoor uska hai.-
Is jahan me pehli ye waba kesi
Ye dard kesa iski dawa kesi
Takseem ho rahe hein jawaan sabhi
Maut ki bhi ab wajha kesi
Kya pata kab ho jayein rukhsat
Zindagi se bhi ab wafa kaisi
Pareshani ka koi hal bhi nahi
Jo asr na karein wo dawa kaisi
Mazloom ho chuke hein jahan me sabhi
Wo sahara kaisa wo chadi kaisi
Zindagi ke dhaage toot rahe hein
Insaniyat ki bhi ab ye ada kaisi-
Milne ke khayaal mjhse bana lena tum
Man kare to apna bana lena tum
Meri saari galtiyon ko nazar andaaz kar dena
Meri chaah ko bs yuhin apna lena tum
Mujhse juda hone ka khayaal jab aye tumko
Mujhe pukaarna aur gale laga lena tum
Bhatak na jana tum kahin mjhse
Isi liye mujhko apni raah bana lena tum
Mere khayaal jo hein in aankhon me hamare liye
In khayaalo ko apna bana lena tum
Milne ka khayaal bana lena tum
Man kare to apna bana lena tum-
Jis bhi dil se dil lagaya hamne
Kya btayein ki kya khoya kya paya hamne ,
Rukh hawa ka udhar hi gya hamari
Jis taraf pankha jhalaya hamne ,
Khatam karte hai chalo mohabbat ka safr
Jo kisi roz chalaya hamne ,
Na me rha tera na tu ho saki meri
Yahi ehsaas khud ko dilaya hamne,
Tujhe pane ki shiddat itni thi mjhme
Bs Khuda ke saamne hi haath phelaya hamne
Safar sath guzarne ki thani thi
Safar chorne ka bahana banaya tumne
Zindagi me rang bharna tha apni
Tune chora to khudko berang paya hamne
Ab nahi hota hamse lafz-e-mohabbat dobara
Tujhko jo humsafar banaya hamne
Jis bhi dil se dil lagaya hamne
Kya batayein ki kya khoya kya paya hamne .
-
Raton me jaagna maano zaroori sa ho gya hai
Use paane ki chah rakhna zaroori sa ho gya hai
Usne mujhse juda hone ka faisala jo kar liya
Ab mera bhi juda hona zaroori sa ho gya hai
Usko to sabr mil gaya mujhe chor kar
Mere jazbaaton ko sabr dilana zaroori sa ho gya hai
Mere zehen me to bs khayaal hi uska tha
Ab apna khayaal badalna zaroori sa ho gya hai
Uski to muskaan btatai hai use zara bhi dard nahi
Mere chehre par muskurahat lana zaroori sa ho gya hai
Usko kya kahein ab hum hamara to huq bhi nahi
Mujhe apne khayal badalna zaroori sa ho gya hai
Raton me jaagna maano zaroori sa ho gya hai
Use paane ki chah rakhna zaroori sa ho gya hai
-
Meri yaadon me kuch hisse ab bhi hain
Teri yaadon ke kuch hisse ab bhi hai
Tujhe bhale hi yaad na aati ho meri
Par tujhse mohabbat mujhe ab bhi hai
Meri raaton ki neend kahin gayab si hai
Teri baaton ke kisse ab bhi hain
Tune chaha tha mujhe kuch lamho ke liye
Tere liye meri chahat ab bhi hai
Tujhe bhale hi yaad na aati ho meri
Par tujhse mohabbat mujhe ab bhi hai
Tere gusse me jo pyaar hota tha
Mujhe us pyaar ki chahat ab bhi hai
Mere chehre par bhale hi muskurahat thi tab
Meri aankhon me ashq ab bhi hai
Tujhe bhale hi yaad na aati ho meri
Tujhse mohabbat mujhe ab bhi hai
Meri aankhein bechain hein kuch yun
Tujhe dekhne ko bechain ab bhi hai
Teri ek ahat ko taras se gaye
Tere saye ke deewane ab bhi hein
Tujhe bhale khayaal nahi mera
Tujhse mohabbat ab bhi hai
-
Khuda kare ye muskurahat kabhi kam na ho
Teri ye pyaari ankein kabhi nam na ho
Tune chah kar bhale hi chord diya ho mujhe
Par meri chahat tere liye kabhi kam na ho
Tere jane se mjhe zara bhi sukoon nahi
Teri zindagi me sukoon zara bhi kam na ho
Milna kabhi mauqa mile to tumko
Par hamari mulaqaat khayalon me kabhi kam na ho
Meri yaad ziyada lgana mat tum
Kya pata kal tum raho par hum na ho
Mujhe to adat thi toot kar chahne ki
Me chahta tha hamara pyaar kabhi kam na ho .
-
Mere zahen me ek sawal ab bhi hai
Tune kyu choda ye khayaal ab bhi hai
Tune to bade waadein kiye the saath rehne ke
Kyu chor dia saath sawal ab bhi hai
Tune kaha tha judai ka to sawaal hi nahi
Kyu hein juda ab hum sawaal ab bhi hai
Meri chahat kya itni thodi thi
Log puchte hein mujhse tera khayaal ab bhi hai
Mere raaste jo badle se hein uski wajha tum ho
Me lauta nahi ab tak, tujhse mohabbat ab bhi hai
Tujhe khayaal nahi aata mera mujhe khushi hai
Me kyu hon khush iska malaal ab bhi hai
Zara si mohabbat ke mohtaaj the hum
Kyu tutein is qadr ki khayaal ab bhi hai
Mere zahen me ek sawaal ab bhi hai
Tune kyu choda ye khayaal ab bhi hai
-