Jaari kashmakash lehroon se hai dooba nhi hoon.. Me sach ka paikar na shi magar jhoota nhii hoon.. Jamii to gard mere chehre par bohat hai.. Aks apna dekhta hoon aayine se rootha nhii hoon.. Me us drakht ka ek sookha patta hii shii lekin.. Munsalik shaakh se ab tak hoon toota nhii hoon..
Sunsaan galliyan hain aur raat ki tanhaai hai.. Aur us pe rulaane ko teri yaad aayii hai.. Quvvat-e-jumbish baaqi mere honthoo me hai kahaan.. Dard mera bataane ko har aah meri chillaai hai.. Kho na jaaon me masarrat ke andheroon me kahiin.. Tareeki mitaane ko dard ki shamma jalaai hai..
Bohat door tak tareeki me chal nikla hoon.. Kahaan ko jaana hai pataa nhii maaloom.. Tumhaare mehal se aaj nikal me aaya hoon.. Jurm apna pataa hai sazaa nhii maloom..