Taqdeer Ki Bigdi Hui Har Baat Banale
Ja Dar Pe Sakina (ع) Ke Tu Sar Apna Jhukale
Abbas (ع) Dua Teri Kabhi Radd Na Karenge
Tu Apni Dua Karde Sakina (ع) Ke Hawale-
Ya Rab Hame Imam۴ Ki Khidmat Naseeb Ho
Pechanle Unhe Woh Basirat Naseeb Ho
Duniya Ke Sath Deen Ki Izzat Naseeb Ho
Har Saal Karbala Ki Naseeb Ho
Ya Rab Hamare Lab Pe Durood O Salam Ho
Pounche Wahan Jahan Par Hamara Imam۴ Ho-
Chayi Hui Duniya Par Corona Ki Wabah Ko
Mitti Mein Mila Dijiye Ya Mehdi-e-Douran (ع)-
Sarkar Ya Ali۴, Apki Sarkar Ya Ali۴
Chakh Kar Parda-e-Ghaibat Ko Hum Dekhle
Ya Ali۴ Apke Waris Ka Bharam Dekhle
Jiske Aane Se Badal Jayega Yeh Jahan
Inhi Ankhon Se Wohi Nakhsey Kadam Dekhle
Chahate Hai Yeh Azadar, Ya Ali۴ Apki Sarkar
Gham Sehte Sehte Thak Gaye Karar Chahiye
Ab Zulm Ke Sar Par Teri Talwar Chahiye
Is Khouf Ke Mahol Se Tang Aachuke Hai Hum
Ehy Waris-e-Haider۴ Teri Sarkar Chahiye
Sarkar Chahiye Ya Ali۴, Apki Sarkar Chahiye
-
Zameen Insan Ko Rizq Deti Hai Lekin Jab Insan Marta Hai Tho Phir Woh Ushe Apna Rizq Bana Leti Hai
Parinda Zinda Ho Tho Chuntiyan Khata Hai Magar Jab Parinda Mar Jata Hai Tho Chuntiyan Ushe Khati Hai
“Waqt Kabhi Bhi Badal Sakta Hai”
Ek Darakht Ek Lakh Machis Ki Teeli Bana Sakta Hai Magar Machis Ki Ek Teeli Ek Lakh Darakht Jala Sakti Hai, Tho Zindagi Mein Kabhi Kisi Ko Mat Satana Us Waqt Shayad Ap Taqatwar Ho Magar Waqt Apse Zyada Taqatwar Hai-
Rafta Rafta Ho Raha Hai Jaan Lewa Intezar
Yeh Bata Dijiye Karen Hum Aur Kitna Intezar
Yeh Ibadat Bachpane He Se Kiya Karte Hai Hum
Zikre Haydar۴, Matam-e-Sarwar۴, Tabarra, Intezar-
Main Hussaini Hun Mera Kaam Azadari Hai
Fatha Shabbir۴ Ka Elaan Azadari Hai
Mera Mansab Mera Imaan Azadari Hai
Har Kadam Par Mera Imaan Azadari Hai
Nouha Shabbir۴ Ka Lori Mein Sunaya Hai Mujhko
Han Meri Maa Ne Azadar Banaya Hai Mujhko-
Naamon Nishan Waba Ka Hamesha Mita Rahe
Amno Amaan Mein Ummat-e-Khairul Wara Rahe
Az Behre Mustafa (ﷺ) O Paye Murtaza Ali (ع)
Binte Nabi (ع) Ke Sadqe Mein Dur Har Bala Rahe
Sadka Hassan (ع) Hussain (ع) Ka Abid (ع) Ka Wasta
Har Momin Har Maraz Se Hamesha Bacha Rahe-
Wajood-e-Haq Se Sara Nizam Khayam Hai
Kisi Ke Faiz Se Sab Intezam Khayam Hai
Woh or Honge Yateem-e-Mazhab O Millat
Hamare Sar Pe Hamara Imam (ع) Khayam Hai-