Socha tha Sukoon se bita dunga zindagi meri...
Magar zindagi ne teri yaadon ka musafir bana diya..
-
Waise zindagi mein humne zyada kuch chaha hi nehi.
Aur jise chaha usse kabhi paya hi nehi.
Aur jo badi mannaton ke baad hassil hua,
Usse kuch iss qadar khoya, ke dobara kuch chaha hi nehi.
-
Akele khada hone ka hunar sikho yaaron ,
Kyin ki duniya gyaan deti hai , magar sath nai...
-
Insaan ki ahamiyat unko tab milti nhi
Jab talak wo yaadein na ban jaye...
Magar duniya roti hai jab unko pata chale ki is insaan ke jaisa aur kahin koi na ban paye...
-
Tu mile ya na mile ,
Mudde ki baat ye hai , sukoon bohot milta hai
Tumhe apna soch kar.....
-
Mehnat kar ke girne se sakshyat nikharti hai yaro...
Jo kabhi gire nahi unhe knha asman ki uchayion ka pata hota hai...
-
baarish bohot haseen hoti hai.
Magar sirf unke liye , jinke makan pakke hai.
-
Cha ho to pura duniya jeet sakte ho apne sanskar se.
Cha ho to sab kuch hara skate ho bas apne ahankaar se.
-
Hataon haath aakhon se ye tum ho janta huin mein.
Tumhara chehra nahi , tumhare khusboo nahi tumhare aahat se bhi pehchan ta huin mein.
Ab bhatak ta hua gum mujhe gale laga ke ye bola kahan jaun ye sard raat mein seher bhar mein tujhko bas janta huin mein.
-
Na kabhi neend puri hui na hi mere khwab mukammal hue.
Kabhi waqt ne kaha kash thoda aur sabr hota.
Aur kabhi sabr ne kaha kash thoda aur waqt ho pata.
-