Saurav Kumar   (Poet Sahoo)
13 Followers · 50 Following

read more
Joined 2 December 2019


read more
Joined 2 December 2019
30 JAN AT 9:28

Akele Chalna Phir Humne Bhi Seekh Liya

Sitaare timtimaate huye dikh rahe they
Hum bhi raat ki andheron mein kho rahe they
Guzarna chahte they unn sitaaron mein
Magar raaste toh jaate they mohabbat ki galiyon mein
Kyaa khoob hoti woh safarnama
Asaan bhi toh bann hi jate wahaan se guzarna
Lekin yaadon mein toh kohra chaaye huye they
Aur saathi bhi usme kahin gumm huye they

Dhoondh rahe they hum unhein kohre mein
Soch rahe they safar bhi toh hogi baadlon mein
Talaash karte karte bhatkan mein atke huye
Raat ki chandni ko dekh kar aansu pochte huye
Pohunch naa rahi thi pukaar unn tak
Pairon ne bhi jawab de diye subah tak
Surya ki kirnon se jab aankh khulne lage
Woh toh kahin door jaate dikhne lage

Naa labzon ne suni naa hi sune mere pair
Mann mein lete huye bas yaadon ke dher
Peeche khade hum unhein dekhne lage
Beete pal ko hum wahin khade huye jeene lage
Mann ko samjhaa liya peeth thap thapaa liya
Unn pairon ki nishaaniyon ko apna raasta banaa liya
Dil ko samjhaa kar humne sulaa diya
Akele chalna phir humne bhi seekh liya

-


17 JUN 2024 AT 0:58

Dil Ne Bhi Ghar Chhod Diyaa Hai Unse Rooth Ke

Sataati hein aapki yaadein
Unko toh panno pe utaara thaa humne
Aur bhi they usme dil ki baatein
Magar gal gaye woh saare aansu se apne

Chupaa lete hein nami aankhon ki
Dard-E-Dil ko naa chupaa sake hum
Dil ne Dil ko pukaara tha magar
Bikhare huye ko samet na sake hum

Pehli aur aakhri Ibadat hai woh meri
Shayad Bhagwan bhi jal gaya thaa pyaar mein
Uthaake patak di usne mujhe
Aur mitaa diyaa mujhe usi raakh mein

Mitti toh pee gaya ambar ke saare boodh
Magar asmaan ko ishqbaaz banaa diye sab
Humne toh jhukaa liyaa thaa sir apnaa
Magar duniya ne humse mooh mod liya tab

Sundar woh mann aur sundar hai mukh
Bhar jaate they mann dekh usse apne sammukh
Ishq toh humein us naam se huaa thaa
Magar zindagi ne mod hi liyaa thaa apne rukh

Ishq aata hai Ishq ki kahani sunaane
Sunaayi dete hein humein dastak darwaaje pe
Keh do jaake ishq ko wahin ki
Ab dil ne bhi ghar chhod diyaa hai unse rooth ke

-


16 APR 2024 AT 0:56

Sukh Likhte Likhte Hum Dukh Likhte Gaye

Likhne baithe they ek kahaani hum
Kaagaz kalam saath soch mein kho gaye
Saamne rakhi us tohfe ko dekh kar
Yaadon mein aapke hum behte chale gaye

Likhnaa toh aata nehi magar likhte gaye
Pyaar ke alfaazon mein hum bas rote gaye
Magar aansu aankhon se nikal na paaye
Kyoon ki unn aakhon se aap rooh mein joh sama gaye

Kuch jaado sa tha woh joh mujhpe huya tha
Bann gaya tha mein aapki jab mulakat hua tha
Rukk gaya tha dil pehli labz bolne se pehle
Magar unhi labzon ne hi toh ishq karwaya tha

Pata nehi app kyoon itni zaroorat bann gaye
Ishq mein hum aapke iss tarah doob gaye
Nazar se door hote hi saans rukne lag gaye
Magar yeh ishq ko bhi kambakht nazar lag gaye

Woh bichhadna bhi shayad zaroori thaa
Saath na rehna shayad Kanha ki manzoori thaa
Magar ek dukh sa reh gaya hai humaare dil mein
Bichhadne ke baad aapne ek baar bhi mudd ke naa dekha tha

-


8 FEB 2024 AT 1:55

Aur Wahin Raja Ki Kahani Adhoora Reh Gaya Tha

Ittefaq thi woh joh usse ik chehra dikh gaya tha
Yaar ne toh taarif aur taoruf bhi kar liya tha
Pyaar ka do shabd bhi khil khilaa gaya tha
Phir mann bhi umr bhar ka izazat de diyaa tha

Phir kuch baatein usne likha tha
Jisme woh Raja aur unko Rani banaya tha
Kahaani ko bhi lagbhag puraa kar liya tha
Magar Kanha ne toh kuch aur hi soch rakha tha

Ik bandhan, joh phool se bana tha
Raja aur Rani ko usne baandh ke rakha tha
Jodi toh aalingan mein kho gaya tha
Magar bandhan ko kabhi chhutne na diya tha

Baaton ki dher mein shayad kuch ankahaa reh gaya tha
Zubaan kab bezubaan huyi, pata bhi na chala tha
Kuch shabd Rani ko salakhon ke peeche jakad rakha tha
Awaz ko pohunchte pohunchte der bhi ho gaya tha

Uljhan ko suljhaane Raja nikal pada tha
Toote bandhan ko baandhne ki kosish bhi kiya tha
Shabdon ki khel mein woh ulajh gaya tha
Aur khud ko wahin pe tod diya tha

Muskaate chehre ke peeche aansu chupaya tha
Na chaah kar bhi Rani ko akela chhod aaya tha
Bandhan ke dhaagon ko phir jod na paaya tha
Aur wahin Raja ki kahani adhoora reh gaya tha

-


15 DEC 2023 AT 9:17

Pyaar, Nadi Aur Sagar Ki

Bas ik tarf behti huyi nadi hein hum
Samandar si hein woh pataa na thaa humein
Jaane kyoon kanha ne yeh leela rachaayi
Samaa diye iss nimnaga ko uss jaladhi mein

Sukh dukh sab beh gaye unke paas
Pata nehi kaise banaaye bhagwan ne unhein
Shayad bhagyashali they hum utnaa
Behkar pohunche hum usi sagar mein

Mann mein toh bas pyaar si paani thi
Aas paas ke keechad bhi milne lage humein
Lagaa ki khud ko rok lein behne se magar
Banaaya hi nehi aise kudrat ne humein

Dil badi thi sagar ki aur pyaar bhi thi badi
Paani ho ya keechad, kabhi naa roka humein
Chahal thi sagar mein magar andar thi shanti
Der kar diye hum shayad samajhne mein unhein

Aa gaya woh din jab rukne ki thi baari
Jakad liyaa tha daldal mein kudrat ne humein
Roudra roop saath jab usne lehrein uthaayi
Rakh diaa phir unhone tod ke humein

Dinn beet rahe, paani sookh rahe
Magar aansu ne bachaaye rakha hai humein
Paani ki zaroorat ho toh bolna zaroor
Kyoon ki rok rakhaa hai baarish ko yahaan humne

-


26 NOV 2023 AT 0:13

Dil Ki Baatein Bataa Hi Naa Paoon

Fass gaya hoon ek trikon yuddh mein
Nikalne ki raah dhoondh ke na paoon
Yeh samay ka hi toh khel hai magar
Samajhke bhi tujhe samjhaa na paoon

Kosish ki poori khud ki poornata ke liye
Sudhaar toh mein humesha se chaahoon
Laakh kosish ki tere layak banne ki magar
Galti toh dhoondh ke bhi na paoon

Labzoon se maine apni duniya dikhaayi
Bas bhavnaaon ki hi varnan karoon
Sirf nayan hi samjhe sachhayi sammukh ki
Uski sobhaa ko kaise ankit karoon

Mann toh kare hein sab chhod kar
Paas tere mein chalaa aaoon
Is yuddh ne toh jakad liya hai pair
Chaah kar bhi tujhe chhoo na paoon

Log toh kehte naa lagaao kisi ki aadat magar
Iss roumya chintan ko ab kaise chhod doon
Dil toh mude hein bas teri hi taraf
Naa chaahe bhi apna rukh mod loon

-


4 NOV 2023 AT 16:32

Ek Ladke Ki Aansoo Kehti Hein

Apno ko khush rakhte rakhte kabhi dil bhi bhar aate hein
Unko haste dekh humaare aansoo bhi hass jaate hein
Aankhein toh pyaar ke laal rang dikhaa jaate hein
Aur poch kar aansoo bas pyaar karna sikhaa jaate hein

Dil kehta hai araam lo thoda shanti se baith lo
Magar zimmedaari hai kayi aur haath pair hein sirf do
Phir bhi uth khade hote chahe kitna bhi dard ho
Labz pukaare madad ko magar kaan nehi hai ek sunne ko

Baatein dil ke dil mein hi dafn ho jaate hein
Saare raaz bas mann mein hi reh jaate hein
Samjhaane ki baari ho toh pata nehi kyoon
Apne aap labz chup ho jaate hein

Do pehloo ek sach ke kabhi teen bhi bann jaate
Ab toh samne ka sach bhi jaan bujh ke maan lete
Rukk jaata hai wahin sach ka teesra pehloo bann naa
Jab humaara sach ka bhaar hum apne paas rakh lete

Nakaami ki mohar lagte hi duniya mooh mod leti hai
Us nakaam ko vijay milte milte duniya ulat jaati hai
Phir ghar bhi soona, bahar bhi soona, bas ekaant hi saath deti hai
Nehi sun paoge tum woh kahani joh ek ladke ki aansoo kehti hai

-


4 JUL 2023 AT 0:51

Yeh Wakt Bhi Nikal Jayega

Paas hein hum magar paas nehi
Mann mein kuch bhi khaas nehi
Hothon pe muskaan nehi, kyoon ki
Khush toh nehi, koyi aas bhi nehi

Chehre milte they aate jaate
Naa milte toh toot se jaate
Ab aankh micholi khelte khelte
Dinn aur raat bas kat'te jaate

Sochey they hum shurwadon mein
Darte they hum rishteydaari mein
Shabdon ke iss mahabharat mein
Fass gaye hum Karn ke sthaan mein

Darr bhi samne aa jaate hein
Mitti bhi neeche hil jaate hein
Door kahin pe rehte rehte
Door door hum ho jaate hein

Seekh mila tha milta rahega
Chitragupt lekh likhta rahega
Kanha ki bas kripaa huye toh
Yeh wakt bhi nikal jayega

-


28 JUN 2023 AT 21:33

Samajh Naasamajh Ki Ek Uljhan

Samajh samajh ke duniya ko khud ko naa samjhaa sake
Na apno ne samjhaa humein, naa khud unko samjhaa sake
Dimaag samajhta hai sab magar woh dil ko naa samjhaa sake
Dil na samjhaa toh hum aansu ko bhi samjhaa na sake
Aankhein toh nasamajh hein, aansu ko woh rok na sake
Aansu chupaane ki kosish mein kanth bhi aatur hone lage

Baatein hoti hein dewaaron se magar apno ko hum keh na sake
Apno ke kaano se zyaada takiye humein sunne lage
Woh samjhe ya naa samjhe, saari kahani usse sunaane lage
Jaan hoti hai nehi magar woh aansu zaroor pochne lage
Samajh naasamajh ki uljhan mein hum khud ko hi khone lage
Bas ummeed pe atak gaye ki, shayad din bhi kabhi badalne lage

-


22 JUN 2023 AT 11:05

Aansu humaare kehte humko
Na khud tootna, naa dil todna
Bas geet gaate chalte rehna
Aansu poch tum haste rehna
Mat suno is duniya ki
Sunte raho apne dil ki
Kyaa kahein hum logon ko aur
Logon ka kaam hi hai kehna

-


Fetching Saurav Kumar Quotes