Sirat se jyada surat ki
Kimat banti dekhi hai
Ishq ke naam Rooho ko
jismo me santi dekhi hai-
लिखता हूं बताता नहीं;
दिल के जज़बात जताता नहीं।
Ek rahi hai jo gaon-gaon,
Or seher-seher se mudta hai;
Bin iske koi kona nahi,
Jo kisi kone se judta hai!!!-
Khud ko suli par chadha kar,
Karodo ke liye misaal ban gaye;
Jo Bacha sakte the,na bacha kar;
neta bemisaal ban gaye!!!-
Vaise to sabhi kehte hai ki,
Deewaro ke bhi kaan hote hai;
Naman hai un kalakaro ko jo in,
deewaro me bhi jaan bharte hai!!!-
Kabhi mitti se lat pat,
To kabhi pasine se nahaye hue;
Kuch hi logo ke paise hai,
Mehnat se kamaye hue!!!-
Dard bayan karne ke liye
Shabdo ki kami si pad rahi hai
Aapke ke bina is khel ke maidan
me nami si pad rahi hai-
Kahi jan dev se roothe hai,
To kahi dev jan se roothe hai;
Isliye
Kahi megh jor se barse hai,
To kahi jan ek boond ko tarse hai!!!-
Kitna dhakegi mujhse khudko tu,
Teri shakl to mai nakab se bhi jhank lu;
Mil jaye tere takkar ki koi bala,
To use koso mile dur se bhi bhanp lu!!!-
In hatho ko tere hatho ki,
Aadat si lag gayi hai;
Ab koi puchta hai to keh deta hu,
Bas sab sahi hai...-
Umeed namak talab bhi
badi gajab hai sahab
agar lag gayi to
insaan ki laga deti hai-