To chlo aaj kuch likhte hain
Tere mere nazdikiyon ke kisse ko
Ya phir mujhse Jude vo
Tere khoobsoorat hisse ko
Un raaton me silvatein uss chadar ki
Ya phir mere kareeb aane par
Teri surkh hotho ki khamoshi ko
To chlo aaj kuch likhte hain
tere kandhe ke uss bekhauf til ko
Ya likh du tere seene me zoron se Dhadakte uss dil ko
Hawao se sehlate tere gaalon ko
Ya tere chehre pe bikhre un baalon ko
Akhir , likh hi di maine
Us mausam ki hawaon ki rawani ko
Teri meri uss raat ki kahani ko
Teri meri uss raat ki kahani ko !!
-SAUMYA
-
Sometimes we break and no ways left to go back!!
We heal we heal one... read more
Mere chehre par chupe daag bhi pyar se sawarta hai vo
Jo julfon se chupana chahu unhe
To choom kar mere mathe ko
Meri khoobsoorati nikharta hai vo!!
-
Maa!!
Smajhti hu tere har dard ko
Mehsoos kiya hai tere khalipan ko
Pyar ki kami ne tujhe tod kar rakh diya hai
Tu kuch na bolkar bhi bahot kuch bol jati hai
Tere chipe alfazo ko jana hai maine
Haa aaj tere chupaye har zakhm ko pehchana hai maine !!-
Zaroorat nahi padi kbhi
Ladti rahi akeli sbse
Par lgta hai ab
Koi to ho jo hath pakad
Le jaaye in mushibato se pare
Kahi jaha na dard bhari karwate ho
Na tanhayi me siskane ki vo aahatein
Jaha na ho khushi ka chain
Na dard ki vo rain
Bs ho to sukoon bhari raahatein !!
-
Jaise pattiyo ka pedo se
Jo toote usse to sookh jaye
Jo Judi rahe sakhao se
To hariyali lehlahaye
Tera mujhse judna jaise
nadi se judta kinara
Jo door ho lehre tat se
Fir Kaha koi wajood hamara
Tera mujhse judna jaise
Asmaan me parindo ki panktiyan
Jo aaye badal beech me
to kadke bhari bjliyan!!
-
Ab bewafa kise kehte hain
Ye hokar batayege
Zara sa sabr kro
Tumhe tumse jyada aajmayege
Meri barbadi pe mushkuraye ho na
Ab tumhe jee bhar ke rulayege!!-
Yu to mehfilo me bebaaak mushkurati hu
Dil akshar raato ko roya hai
Mere hasi me chipe mere dard ko pehchanna itna asan nahi
Smjhega bs vo jisne kisi apne ko khoya hai !!
-
Betahasa kosise Kari tujhe bulane ki lekin
Tere Diye har dard ne mujhe tera ehsaas karwaya hai!!
-
Zakhm!!
Kuch jakhm zindagi jeena sikhate hain ,
To kuch zakhm zindagi ko zakhmi kar
Nishan chhod jate hain,
Kuch Jakhm logo ki yaad dilate hain ,
To kuch barson purani yadon ke panne palat jate hain,
Kuch zakhm hme waqt ka mohtaaz bnate hai ,
To kuch zakhm maut ka intezaar krwate hain ,
Ye zakhm hokar bhi kitna kuch sikhate hain!!
-
Nafrat hai mujhe tumhare har uss jhooth se jiska sach mujhse nahi
Kisi aur se hai!! 🙂-