Jhuki nazar ,
Khamosh nigaahein,
Aur wahi uljhe hue sawal,
Mubarak ho,
Ladka phir badal diya aapne .-
Kuchh rastein ese bhulaya nahi jata,
Dur reh kar pass aaya nahi jata ,
Rastein dekh aakhein kuch bheeg si jaati hai,
Kya kare ab aapse har gam bataya nahi jata .-
Wo imaan hi kya jo chhand paiso me bikk jaye ,
Wo pehchan hi kya jo kharid kar paaye ,
Zindagi me kucch banna hain to mehnat karo yaro,
Kyuki wo aukaat hi kya jo kehne pe dikh jaye .-
Bewafai ka daur kucch yu hue ,
Aaj unki dua kabool na hue ,
To unhone khuda badalna thik samjha .
-
Rishte agar bikhre hain to unhe sambhal lo ,
Dil agar roothe hain to unhe mana lo ,
Kahi is gusse me keemati pal nikal na jaye ,
Aagar mante ho aaj bhi mujhe to gale se laga lo .
-
Waqt aur bharosa zara soch ke istemal karna sahaab,
Ye dikhte bhale kamzor hain ,
Magar acche se accha insaan ko bhi parakh lete hain.-
Tere bina ye dil na jane kyu ghabrata hai,
Bin tere ek pal bhi chain nahi aata hai,
Tere ek deedar ko is qadar tarse hai,
Ki luta kar duniya ek bar dekhne ko marte hai,
Jo dikh bhi jaaye to dil ko kaha sukoon aata hai,
Tera deedar to aa gaya magar kambakht tu nahi aata hai.-
Tootte taare to dekh kar socha tujhe maang lu,
Phir khayal aaya,
Kambakht jo khud toot gaya wo mujhe kese pura karega .— % &-
Waqt ne parkha ,
Waqt ne azmaya,
Dabi hain jo raakh me aag ,
Waqt ki hawa ne usse lehkaya,
Uthe phirse to ek saaz hoga ,
Kucch purani aadaton se mulakat hoga,
Yahi zindagi me ek bar hoga.
— % &-
Aaj aaya hain khayal is agaaz ka ,
Agar na hue asar ese halat ka ,
Rukna sikha nahi hain iske liye,
Kya jee paaenge binn tere alfaaz ka .-