मेरी बच्ची को मिला दाग़-ए-ज़माना कोई,
दिल का टुकड़ा भी दिया फिर भी ना माना कोई,
हथेली के छाले की तरह रखा अपनी शहजादी को,
फिर भी उसकी अहमियत ना पहचाने कोई,
एक उमर खर्च हो गई उसके दहेज पर,
बाप के कुल आसरे का दर्द ना जाना कोई,
अच्छी परवरिश दी, लिखाई पढ़ाई दी,
और दे दिया अच्छा सलीखा भी,
बेटी दी माल-ओ-ज़ार दिया और दे दी घर की रौनक भी,
विदा किया तो महसूस हुई जकड़न सीने पर,
सुना हुआ महल, मेरी गुड़िया चली अपने घर,
ले गए बागबान के सबसे ख़ूबसूरत फूल को,
बाग हुआ सुना और मुरझाये फ़र्द हुए धूल को,
कहानी उसके बाप की जुबानी ना जाना कोई,
उसके किरदार की खुशबू ना पहचान कोई,
मेरी बच्ची को मिला दाग़-ए-ज़माना कोई
दिल का टुकड़ा भी दिया फिर भी ना माना कोई..-
AK sabab Marne ka, AK talab jeeney ki,,
AK Chand pukhraj Ka, aur Raat pashm... read more
वो मेरे घर नहीं आता, मैं रोज़ उसके घर चला जाता हूँ,
कुछ मोहब्बत के मसाइल तो कुछ मोहब्बत निभाने चला जाता हूँ,
अगर निस्बत ना हो उसे मोहब्बत की तो बुलाती नहीं,
मैं चाहे रूठा कितना भी रहूं मगर उसको मनाने चला जाता हूं,
वैसे दिल रखता हूँ मैं भी अपने पहलु में,
मगर उसके बुलाने पर मैं उसका दिल बहलाने चला जाता हूँ,
लाख बुराइयाँ निकल आईं हैं अब मेरे वुज़ूद में,
उसका बुरा बन कर भी मैं उसे सताने चला जाता हूँ,
किसी रोज़ मौम तो होगा किरदार उसका भी,
उसके भरे हुए मन को छलकने चला जाता हूँ,
कुछ रोज़ से ताल्लुक़ दुरुस्त नहीं रहे अब मोहब्बत से,
अब मोहब्बत रहे ना रहे मैं बनाये रिश्ते निभाने चला जाता हूँ।-
Mere Allah ab ummat ko muttahid kar de,
Wo jo faqi ke sar swaar thi wo zidd kar de,
Aaj qatil bhi jis rah pe tham jata hai,
Fir usi rah par munsif ka kadam jata hai,
Na mita paoge chikhein sunayengi Mahshar,
Khoon se khoon girta hai to jam jata hai,
Tu sane khoon se chhuu diwaron ko,
Inke dhabbon se teri qoum ka dam jata hai,
Ab us sanam se bhi qalma-e-shahadat sunna,
Alam uthane jo tumhara sanam ata hai,
Lafz-e-moosa bano firoun-e-zamana se kaho,
Humare pas to qousar ka bhi ak sakhi hai,
Tumhi se hoga khoon ke sare dhabbo ka hisaab,
Abhi allah ka insaf ana baaki hai,
Abhi allah ka insaf ana baki hai,,,-
Haan magar ye bhi sach hai ki tujhse darte hai,
Humko agar chhink bhi aye toh tera humd karte hain
Tu na dekhega to rab kahan jayenge,
Hum darindon ki chali bheed me mar jayenge ,
Ik teri zaat ka hai dar ki rote hain ,
Bado ke kamre puchte hain ki jab hai insaaf toh tumhare bade qabristan me kyu sote hain,
Mere Allah koi bhej de khaliq jaisa ,
Dil-e-bedam teri rehmat se na-ummeed nahi,
Mere Allah ye kaisa hai humara lashkar ,
ak kheme mai hai Eid Aur taraf Eid nahi,
Mere Allah ab ummat ko muttahid kar de,
Part -2
To be continued…-
Din kise kahna hai rat kise kahni hai,
Humko maloom hai ab baat kise kahni hai,
Dab gayin khwahishein masjid ke dabe malbe ne,
Fariha mar gayi ab fariyad kise kahni hai,
Mere Allah ye mana zameen sukh gayi,
Isko kuch waqt sajdon me bhigaya na gya ,
Mere Allah ye mana utha hath logo par kabhi dua me magar uthaya na gya ,
Mere Allah ye mana ki sikhayi duniya apne bachchon ko magar deen sikhaya na gya,
Mere Allah ye mana ki jhuk gaya haan wahi sar jo sajdon me jhukaya na gya ,
Lekin allah tere hain gunhagar sahi,
Hain teri khalq tere qoul ke gaddar sahi,
Deen se bair hai duniya se wafadar sahi,
Haan magar ye bhi sach hai ki tujhse darte hai,
To be continued….-
Jab apke bare me kitab likhunga
Apke honthon ko gulab likhunga
Likhunga jab be-khudi ka sabab
Main apki ankho ko Shabab likhunga
Jab likhunga ki kahan Kho gya
Apki ghani zulfon ko khwab likhunga
Hoga sawal jannat ka jab kabhi
Main apki bahon ko thehrav likhunga
Hoga aasra jab kabhi khushi ka mujhse
Apki peshani ko chumna hi rubaab likhunga
Likhunga apko rani pariyon ki kahani ki
Apko hi shahzadiyon ka hisab likhunga
Mohabbat ki aakhri had tak ladh jaunga
Or fir jeet kar apko, apna khitaab likhunga
Mukammal hogi humari bhi khwab ki kahani
Zindagi puri apke naam kar, khud ko apka janab likhunga
Main jab bhi apke bare me kitab likhunga
Khud ko apka hum-khwab likhunga.
-
Apni marzi se bana dijiyega zindagi uski,
Apka pankhe se jo beta utara jayega ,
Aapki gardan kategi marzi-e-taqdeer par,
Zindagi se jang me jaa’nbaaz mara jayega-
Zarb himmat par meri lagate raho,
mera mazhab nishana banate raho,
sare jurm mere sar pe sajate raho ,
tum ho wakif agar lazzat-e-zulm se ,
mai bhi zinda ki lazzat se gafil nahi,
Aao dekhein tapake lahu ka safar ,
dono shamsheer ke fan me hun bekhabar,
jang lazim hai to aazamayein hunar,
hai takabbur tujhko shamsheer par,
meri gardan bhi kayar me shamil nhi,
mai bhi makhtal me tanha utar jaunga,
parcham inqlaab apna lahraunga,
aaina banke surat nazar aunga,
mout aati hai to gham hai kis bat
ka ye shahadat farishton ko hasil nhi,
qaid kaise kroge tum aah-o-fugaan,
qaid me aa saka hai kahan asmaan,
band krke dekho ye meri zubaa,
itni cheekein uthengi mere baad ke,
jeetne ko ye duniya bhi mushkil nahi
hai taqabbur apni shamsheer par
meri gardan bhi kayar me shamil nahin ,,-
लिखा हुआ मिला है किसी दूसरे का नाम,
पन्ने उलट रहा था मैं तुम्हारी किताब के .-
Na doulat, na shohrat na kisi khalid ke liye,
Mujhe ye mukammal jahan jitna hai mere walid ke liye…-