Ek masumiyat ab duniya ko keh chali Alvida
Kuchh na keh saki uski wo sachi Zubaan
Jis ke hone se har kona tha roshan-o-munawwura
In zalimon ne us aangan ke Mehtab ko hi bujha diya
Us jism se to nafani rooh hui hai juda
Par mari hai Insaaniyat phir yaha ek dafa
Ghup andhere mein tay kar ek sunsan rasta..
Jism nahi tha sahab wo jamhuriyat thi jise jala diya
Kabhi Asifa, kabhi Disha to kabhi Nirbhaya
Akhir kab honge hum aise fitna-o-fasad se riha
Jahan Ganga Jamuna ko sab kahte hain Maa
Isi desh mein hain dete Maa Bahan ki gaaliyan
Kya Uttarpradesh kya Rajsthan aur kya Maharastra
Kaha kiski Sarkar , isi masale par hum hain pareshaan
Yunhi rha agar ye rawaiya hamara
Bahar haal phir aayega kal ek naya mamla
Aise halat mein mushkil hai Krna ye faisla
Ke kaise hai mahan mera ye Hindustaan
Aur dil me Dafan hai mere ek sawal kucch is tarah
Ke kab bekauf sadakon pe chal sakengi ye Betiyaan..!!-
Main Hindu , hoon Sikh-Isaayi
Main hi Musalman hoon..
Krishna ki Geeta , Nanak ka Granth
Yishu ka Bible aur Deen ka Quran hoon
Main Hindustan hoon...
Baapu ki Satyagraha , Azad ki qurbani
Mohani ke Inqlaab ka anzaam hoon
Premchand ki kavita , Manto ka Afsana
Aur Kalam ka vigyaan hoon
Main Hindustan hoon...
Waba mein Tabib , Kheiton mein Kisaan
Aur sarhad pr ka Jawan hoon
Tumhare ghar-galiyon ko saaf rkhne wala
Main wo Khuddar insaan hoon
Main Hindustan hoon...
Shan se lehraate oonche Tirange mein
Isar , Aman aur Hariyali ka paigam hoon
Har Jaati-Mazhab ko ek maan ne wala
Bhim Rao Ambedkar ka Samvidhan hoon
Main Hindustan hoon.. Main Hindustan hoon..!!-
Jis ke hone se hi bazar ka...
Har ek khilauna hai sasta
Jis ke panah mein hi...
Rehmat-e-Khuda hai barasta
Zimedariyon ka bojh khud lekar...
Mere hisse mein diya kitaabon ka basta
Maa ke kadamon tale Jannat hai gr...
To Waalid se ho guzarta hai uska rasta
-
Yaad rakhega zamana ke ek mahamari aayi thi..
Jisme kuch lahu-luhan kadmon ke aage lambi sadkein bhi Sharmaayi thi
Ahankari dhup ki taap us Abla ko na hara payi thi
Jis ne apne Garbh mein chand maah ki zindagi Basaayi thi
Jab kisi ke ek waqt ke roti par v aafat chali aayi thi
Tab keyboard wale naye Bharat par #Aatmanirbharta Chhaayi thi
Patri kinare jab Maa ne bachhe se li Vidaayi thi
Us Nanhi Masumiyat ne tab Hukumat ki nakami Darshayi thi
-
Ghar ke raaste hafton paidal hi chal rahein hain Prawaasi
Aur maano pankh lgaye udd rhi hain chitthiyaan ye Siyaasi
Aant sukh chuke honge kbhi qanth bhi rhi hogi pyaasi
Aur suna hai ki 13 zero wali 20 lakh crore ki hai hamari Rahat Rashi
Jinhone bin chappalon ke hi laangh di ho duri Achhi_khaasi
Kyun ni dete un jakhmi kadmon ko Aatma Nirbahr hone ki Shabashi
Sewa bhaw to kab ki jaa chuki de kr Aawedan Awkashi
Aur sawal puchho to kehtein hain ye nhi hai sacha Deshwaasi
Aise haalat mein bhi zyada zaruri hain gharelu udane Aakashi
To Aap bhi kahiye mere sath Desh_mein_sab_Changa_sii
-
Iss Daur-e-Nafrat mein
Tu mohabbat ka Paigam hai Maa
Jhooth fareb se alahda
Tu sachi si Dastaan hai Maa
Ke zulmon sitam bhare zamane mein
Ek Tu hi mujh par Mehraban hai Maa
Tezi se chalti iss matlabi duniya mein
Tu hi to meri Nigehbaan hai Maa
Kyun talashun iss bhid me wajud apna
Tu hi to mere hone ki Pehchan hai Maa
Tu Saadgi se bhari hui... aur Tu hi
Meri zindagi ke rang Tamam hai Maa
Duniya puchhti hai mujhse Majhab mera
Jab ke Tu dhram Tu hi mera Imaan hai Maa
Tere kadmon mein hi to sajdah kiye hue
Jannat kehlane wali wo Jahaan hai Maa
Ke tera koi ek din ni ho sakta kyun ke..
Tere bina to har ek din Bejubaan hai Maa
Aur kyun na kehdun Ke Tu Guru Tu Khuda
Tu Nadeem aur Tu hi meri Jaan hai Maa-
Ye Majdoor hain ya Majboor hain...
Sadkon pe tala bandi hai
Bhatakte rhe hain yeh Berojgar hain
Bhuka pet liye din guzaar dete hain
Raat aankhon ko neend ka intezar hai
Is mushkil ghadi mein sbko Aziz jo hai
Wo inse dur hai aur inhi ka parivaar hai
Wakayi jo Roti ke haqdar hain
Yaha bas wahi to laachaar hain
Aur kahne ko to bas yun kahe..
Ke Achhe din ki Sarkaar hai...
Ye Majdoor hain ya Majboor hain...!!-