Uske badan ka libas maine odh rakha h..
Wo nazron se durr magar dil m basa h ..
Kasa keh du sirf ki wo yaar h mera..
Mohabbat,ishq,junoon wo pyar h mera..
Mai ab har pal usi ko yaad krta hu..
Apni har dua m usi ki fariyaad krta hoon..
Uski ek awaz se mann sambhal sa jata h..
Na mile jawab uska to dil machal sa jata h...
Kaha h, kasi h ye sawaal mann m aa jate h..
Bas itna hi hum unhe chahte h..
Wo pal pal ki baatein jb bhi btate h..
Apna dil dimag shant kr bs unhe sunna chahte h...
Is tarah beet jata h sara din yunhi..
Kasi ho kaha ho ye sawal khud se gungunate h..
Bas isi tarah hum unhe beintahaan chahte h...
#deepthought
@sr✍🏻
-