Anjaan ho k bhi jaan pahchan ki baat krte hai
Yaha dogle log bhi sahab imman ki baat krte hai-
Mere sach ko jhuthlaya tumne v tha
Kuch pal k liye hi sahi mujhe bulaya tumne v tha
Aur sikayat dusro se hi q kru ??
Mera dil dukhaya to tumne v tha-
Bezan si zindagi me jaan v hogi
Jo the anjaan unse pahchan v hogi
Hausla rakh e mayush dil tute huye pankho se uran v hogi
#dauraayega-
Ye khamosh rate ye gum sum si bastii insano ki kamjori darsata hai
Sher k uper v saba Sher hota hai ye iska arth batlata hai
Sina thok k jo raj karte the sahar pe
Ghush kar bethe hai wo log v mot k dar se
Besumar daulat v zindagi nhii bacha rahi hai
Kire makore hai hum khudrat hme apni aukat dikha rahi hai
Ukharti sanse marte log khudrati takat ka hi praman hai
Apni galtiya na sudhar rha insan kitna tu nadan hai-
Ki khud ki parwah na krne wala ab teri parwah krna chahta hai
Rab se rutha hua tha jo wo ab duwa krna chahta hai
Bhagta rha jo rishto ke bandhan se wo manmoji ab tum se nikaah krna chahta hai-
Kab aaye neend kab so jau mai tha isi aash me
Jagta raha mai tanha taro aur jugnoowo ke sath me
Dekha to neend aur sukoon betha mila tere hi pass me❤️❤️-
Wajood
Khud ke Andar mein sehma sehma Sa rah Raha Hun hajaron ki bheed me bhi mein tanha tanha sa reh raha hun
Maa Tu samajh rahi hai na jo main Kah Raha
Chah Ke bhi mein kuchh kah na pata mere wajood par jab koi sawal uthata kya bataun main kis ghutan Me rah raha hun
Maa Tu samajh rahi hai na jo main Kah Raha Hun
Mere Apne Mera majak banaa le mujhse kahate dimag ka ilaaj kara le main hi jaanta hun is apman ka zahar mein kaise seh raha hoon
Maa Tu samajh rahi hai na jo main Kah Raha Hun
Waqt ke sath sab Badal jaega ye Jo daur hai ye bhi Gujar jayega chala jaunga sab chor is duniya se
Maa Kya tujhe tb Mera Dard samajh aayega??.-
Kon kahta hai bichharna mohabbat ki har hai
Jo rah gaya adhura wo v to pyar hai-
Mujhe firse apni baho me sulao na jaan
Mujhe pyar se ek baar bulao na jaan
Tumhare bager dil nhii lgta mera bas ek baar laut aao na jaan 💔💔miss you-
Jab jab mai roya tumne mera peeth sahlaya tha
Meri mohabbat ki takdeer ka tu khuda kahlaya tha
Jab manga mene apne hisse ka ishq
To tumne kaha ki dil bahlaya tha💔💔💔💔
-